jawahar lal nehru
nehru tujh par naaz karegā sadiyoñ hindostān
shāyad paidā ho na sakegā phir aisā insān
milā hai tere ruup meñ ham ko ek baḌā vardān
bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān
isī liye to kartī hai duniyā terā sammān
aish-o-ishrat kī duniyā ko tū ne yaksar chhoḌā
jang-e-āzādī meñ tūfānoñ kā muñh bhī moḌā
azm-o-himmat se dushman kī talvāroñ ko toḌā
bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān
isī liye to kartī hai duniyā terā sammān
jaadū sā kar detī thiiñ dil par terī taqrīreñ
fikr-o-amal kī dāvat detī haiñ terī tahrīreñ
sajī huī haiñ gosha-e-dil meñ terī hī tasvīreñ
bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān
isī liye to kartī hai duniyā terā sammān
des meñ āzādī kā parcham jab tū ne lahrāyā
sūkhe khetoñ ko kitnī tadbīroñ se lahkāyā
kitnī mehnat aur lagan se gulshan ko mahkāyā
bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān
isī liye to kartī hai duniyā terā sammān
bachcha bachcha bhārat kā tere hī gun gaatā hai
gulshan ke phūloñ meñ terī hī ḳhushbū paatā hai
terī hī rāhoñ par chalnā har dil ko bhātā hai
bhā.ī-chāra mel-mohabbat hai terī pahchān
isī liye to kartī hai duniyā terā sammān
nehru tujh par naz karega sadiyon hindostan
shayad paida ho na sakega phir aisa insan
mila hai tere rup mein hum ko ek baDa wardan
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
aish-o-ishrat ki duniya ko tu ne yaksar chhoDa
jang-e-azadi mein tufanon ka munh bhi moDa
azm-o-himmat se dushman ki talwaron ko toDa
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
jadu sa kar deti thin dil par teri taqriren
fikr-o-amal ki dawat deti hain teri tahriren
saji hui hain gosha-e-dil mein teri hi taswiren
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
des mein aazadi ka parcham jab tu ne lahraya
sukhe kheton ko kitni tadbiron se lahkaya
kitni mehnat aur lagan se gulshan ko mahkaya
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
bachcha bachcha bhaarat ka tere hi gun gata hai
gulshan ke phulon mein teri hi KHushbu pata hai
teri hi rahon par chalna har dil ko bhata hai
bhai-chaara mel-mohabbat hai teri pahchan
isi liye to karti hai duniya tera samman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.