jawahar-lal nehru
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
jism miT jaane se insān nahīñ mar jaate
dhaḌkaneñ rukne se armān nahīñ mar jaate
saañs tham jaane se elaan nahīñ mar jaate
hoñT jam jaane se farmān nahīñ mar jaate
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
vo jo har diin se munkir thā har ik dharm se duur
phir bhī har diin har ik dharm kā ġham-ḳhvār rahā
saarī qaumoñ ke gunāhoñ kā kaḌā bojh liye
umr-bhar sūrat-e-īsā jo sar-e-dār rahā
jis ne insānoñ kī taqsīm ke sadme jhele
phir bhī insāñ kī uḳhuvvat kā parastār rahā
jis kī nazroñ meñ thā ik ālamī tahzīb kā ḳhvāb
jis kā har saañs na.e ahd kā me.amār rahā
jis ne zardār-e-ma.īshat ko gavārā na kiyā
jis ko ā.īn-e-musāvāt pe isrār rahā
us ke farmānoñ kī elānoñ kī tāzīm karo
raakh taqsīm kī armān bhī taqsīm karo
maut aur ziist ke sañgam pe pareshāñ kyuuñ ho
us kā baḳhshā huā sah-rañg-e-alam le ke chalo
jo tumheñ jāda-e-manzil kā pata detā hai
apnī peshānī par vo naqsh-e-qadam le ke chalo
dāman-e-vaqt pe ab ḳhuun ke chhīñTe na paḌeñ
ek markaz kī taraf dair-o-haram le ke chalo
ham miTā Dāleñge sarmāya-o-mehnat kā tazād
ye aqīda ye irāda ye qasam le ke chalo
vo jo hamrāz rahā hāzir-o-mustaqbil kā
us ke ḳhvāboñ kī ḳhushī ruuh kā ġham le ke chalo
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
jism miT jaane se insān nahīñ mar jaate
dhaḌkaneñ rukne se armān nahīñ mar jaate
saañs tham jaane se elaan nahīñ mar jaate
hoñT jam jaane se farmān nahīñ mar jaate
jism kī maut koī maut nahīñ hotī hai
jism ki maut koi maut nahin hoti hai
jism miT jaane se insan nahin mar jate
dhaDkanen rukne se arman nahin mar jate
sans tham jaane se elan nahin mar jate
honT jam jaane se farman nahin mar jate
jism ki maut koi maut nahin hoti hai
wo jo har din se munkir tha har ek dharm se dur
phir bhi har din har ek dharm ka gham-KHwar raha
sari qaumon ke gunahon ka kaDa bojh liye
umr-bhar surat-e-isa jo sar-e-dar raha
jis ne insanon ki taqsim ke sadme jhele
phir bhi insan ki uKHuwwat ka parastar raha
jis ki nazron mein tha ek aalami tahzib ka KHwab
jis ka har sans nae ahd ka meamar raha
jis ne zardar-e-maishat ko gawara na kiya
jis ko aain-e-musawat pe israr raha
us ke farmanon ki elanon ki tazim karo
rakh taqsim ki arman bhi taqsim karo
maut aur zist ke sangam pe pareshan kyun ho
us ka baKHsha hua sah-rang-e-alam le ke chalo
jo tumhein jada-e-manzil ka pata deta hai
apni peshani par wo naqsh-e-qadam le ke chalo
daman-e-waqt pe ab KHun ke chhinTe na paDen
ek markaz ki taraf dair-o-haram le ke chalo
hum miTa Dalenge sarmaya-o-mehnat ka tazad
ye aqida ye irada ye qasam le ke chalo
wo jo hamraaz raha hazir-o-mustaqbil ka
us ke KHwabon ki KHushi ruh ka gham le ke chalo
jism ki maut koi maut nahin hoti hai
jism miT jaane se insan nahin mar jate
dhaDkanen rukne se arman nahin mar jate
sans tham jaane se elan nahin mar jate
honT jam jaane se farman nahin mar jate
jism ki maut koi maut nahin hoti hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 207)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.