krishn-kanhaiya
jo sun letā hai gosh-e-dil se afsāna kanhaiyā kā
vo ho jaatā hai sachche dil se dīvāna kanhaiyā kā
nazar aatī hai jis ko ḳhvāb meñ vo sūrat-e-dilkash
vo apnā dil banā letā hai kāshāna kanhaiyā kā
surūr-o-kaif kī miltī hai us ko lazzat-e-dā.im
lagā letā hai hoñToñ se jo paimāna kanhaiyā kā
tum apnā haath phailāo zarā saaqī kī mahfil meñ
ki bāñTā jā rahā hai aaj paimāna kanhaiyā kā
kisī par band hone kā nahīñ mai-ḳhana-e-ulfat
chale aao khulā rahtā hai mai-ḳhāna kanhaiyā kā
kanhaiyā kī mohabbat meñ jo jaañ par khel jaatā hai
use sab log kah dete haiñ dīvāna kanhaiyā kā
'nahīf' apne parā.e sab isī ke dil meñ rahte haiñ
sab apne haiñ nahīñ koī bhī begāna kanhaiyā kā
jo sun leta hai gosh-e-dil se afsana kanhaiya ka
wo ho jata hai sachche dil se diwana kanhaiya ka
nazar aati hai jis ko KHwab mein wo surat-e-dilkash
wo apna dil bana leta hai kashana kanhaiya ka
surur-o-kaif ki milti hai us ko lazzat-e-daim
laga leta hai honTon se jo paimana kanhaiya ka
tum apna hath phailao zara saqi ki mahfil mein
ki banTa ja raha hai aaj paimana kanhaiya ka
kisi par band hone ka nahin mai-KHana-e-ulfat
chale aao khula rahta hai mai-KHana kanhaiya ka
kanhaiya ki mohabbat mein jo jaan par khel jata hai
use sab log kah dete hain diwana kanhaiya ka
'nahif' apne parae sab isi ke dil mein rahte hain
sab apne hain nahin koi bhi begana kanhaiya ka
- Book : Aawaz-e-dil (Pg. 99)
- Author : Jues Naheef Dehlvi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.