krishn kanhayya
ai dekhne vaalo
is husn ko dekho
is raaz ko samjho
ye naqsh-e-ḳhayālī
ye fikrat-e-ālī
ye paikar-e-tanvīr
ye krishn kī tasvīr
ma.anī hai ki sūrat
san.at hai ki fitrat
zāhir hai ki mastūr
nazdīk hai yā duur
ye naar hai yā nuur
duniyā se nirālā
ye bāñsurī vaalā
gokul kā gvālā
hai sehr ki e.ajāz
khultā hī nahīñ raaz
kyā shaan hai vallāh
kyā aan hai vallāh
hairān huuñ kyā hai
ik shān-e-ḳhudā hai
but-ḳhāne ke andar
ḳhud husn kā but-gar
but ban gayā aa kar
vo turfa nazzāre
yaad aa ga.e saare
jamunā ke kināre
sabze kā lahaknā
phūloñ kā mahaknā
ghanghor ghaTā.eñ
sarmast havā.eñ
ma.asūm umañgeñ
ulfat kī tarañgeñ
vo gopiyoñ ke saath
hāthoñ meñ diye haath
raqsāñ huā brijnāth
bansī meñ jo lai hai
nashsha hai na mai hai
kuchh aur hī shai hai
ik ruuh hai raqsāñ
ik kaif hai larzāñ
ek aql hai mai-nosh
ik hosh hai mad.hosh
ik ḳhanda hai sayyāl
ik girya hai ḳhush-hāl
ik ishq hai maġhrūr
ik husn hai majbūr
ik sehr hai mas.hūr
darbār meñ tanhā
lāchār hai kirishnā
aa shyām idhar aa
sab ahl-e-ḳhusūmat
haiñ dar pa.e izzat
ye raaj dulāre
buzdil hue saare
parda na ho tārāj
bekas kī rahe laaj
aa jā mere kaale
bhārat ke ujāle
dāman meñ chhupā le
vo ho ga.ī an-ban
vo garm huā ran
ġhālib hai duryodhan
vo aa ga.e jagdīsh
vo miT ga.ī tashvīsh
arjun ko bulāyā
updesh sunāyā
ġham-zād kā ġham kyā
ustād kā ġham kyā
lo ho ga.ī tadbīr
lo ban ga.ī taqdīr
lo chal ga.ī shamshīr
sīrat hai adū-soz
sūrat nazar-afroz
dil kaifiyat-andoz
ġhusse meñ jo aa jaa.e
bijlī hī girā jaa.e
aur lutf par aa.e
to ghar bhī luTā jaa.e
pariyoñ meñ hai gulfām
rādhā ke liye shyām
balrām kā bhayyā
mathurā kā basayyā
bindrā meñ kanhayyā
ban ho ga.e vīrāñ
barbād gulistāñ
sakhiyāñ haiñ pareshāñ
jamunā kā kinārā
sunsān hai saarā
tūfān haiñ ḳhāmosh
maujoñ meñ nahīñ josh
lau tujh se lagī hai
hasrat hī yahī hai
ai hind ke raajā
ik baar phir aa jā
dukh dard miTā jā
abr aur havā se
bulbul kī sadā se
phūloñ kī ziyā se
jādū-asarī gum
shorīda-sarī gum
haañ terī judā.ī
mathurā ko na bhaa.ī
tū aa.e to shaan aa.e
tū aa.e to jaan aa.e
aanā na akele
hoñ saath vo mele
sakhiyoñ ke jhamele
ai dekhne walo
is husn ko dekho
is raaz ko samjho
ye naqsh-e-KHayali
ye fikrat-e-ali
ye paikar-e-tanwir
ye krishn ki taswir
mani hai ki surat
sanat hai ki fitrat
zahir hai ki mastur
nazdik hai ya dur
ye nar hai ya nur
duniya se nirala
ye bansuri wala
gokul ka gwala
hai sehr ki eajaz
khulta hi nahin raaz
kya shan hai wallah
kya aan hai wallah
hairan hun kya hai
ek shan-e-KHuda hai
but-KHane ke andar
KHud husn ka but-gar
but ban gaya aa kar
wo turfa nazzare
yaad aa gae sare
jamuna ke kinare
sabze ka lahakna
phulon ka mahakna
ghanghor ghaTaen
sarmast hawaen
masum umangen
ulfat ki tarangen
wo gopiyon ke sath
hathon mein diye hath
raqsan hua brijnath
bansi mein jo lai hai
nashsha hai na mai hai
kuchh aur hi shai hai
ek ruh hai raqsan
ek kaif hai larzan
ek aql hai mai-nosh
ek hosh hai madhosh
ek KHanda hai sayyal
ek girya hai KHush-haal
ek ishq hai maghrur
ek husn hai majbur
ek sehr hai mashur
darbar mein tanha
lachaar hai kirishna
aa shyam idhar aa
sab ahl-e-KHusumat
hain dar pae izzat
ye raj dulare
buzdil hue sare
parda na ho taraj
bekas ki rahe laj
aa ja mere kale
bhaarat ke ujale
daman mein chhupa le
wo ho gai an-ban
wo garm hua ran
ghaalib hai duryodhan
wo aa gae jagdish
wo miT gai tashwish
arjun ko bulaya
updesh sunaya
gham-zad ka gham kya
ustad ka gham kya
lo ho gai tadbir
lo ban gai taqdir
lo chal gai shamshir
sirat hai adu-soz
surat nazar-afroz
dil kaifiyat-andoz
ghusse mein jo aa jae
bijli hi gira jae
aur lutf par aae
to ghar bhi luTa jae
pariyon mein hai gulfam
radha ke liye shyam
balram ka bhayya
mathura ka basayya
bindra mein kanhayya
ban ho gae viran
barbaad gulistan
sakhiyan hain pareshan
jamuna ka kinara
sunsan hai sara
tufan hain KHamosh
maujon mein nahin josh
lau tujh se lagi hai
hasrat hi yahi hai
ai hind ke raja
ek bar phir aa ja
dukh dard miTa ja
abr aur hawa se
bulbul ki sada se
phulon ki ziya se
jadu-asari gum
shorida-sari gum
han teri judai
mathura ko na bhai
tu aae to shan aae
tu aae to jaan aae
aana na akele
hon sath wo mele
sakhiyon ke jhamele
- Book : kulliyat-e-hafeez jalandhari (Pg. 86)
- Author : khawaja muhammad zakariya
- Publication : Fareed book depot (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.