lata
Interesting Fact
This nazm is dedicated to the great Indian singer Lata Mangeshkar
tere madhur gītoñ ke sahāre
biite haiñ din rain hamāre
terī agar āvāz na hotī
bujh jaatī jīvan kī jotī
tere sachche sur haiñ aise
jaise sūraj chāñd sitāre
tere madhur gītoñ ke sahāre
biite haiñ din rain hamāre
kyā kyā tū ne giit haiñ gaa.e
sur jab laage man jhuk jaa.e
tujh ko sun kar jī uThte haiñ
ham jaise dukh-dard ke maare
tere madhur gītoñ ke sahāre
biite haiñ din rain hamāre
'mīrā' tujh meñ aan basī hai
añg vahī hai rañg vahī hai
jag meñ tere daas haiñ itne
jitne haiñ ākāsh pe taare
tere madhur gītoñ ke sahāre
biite haiñ din rain hamāre
tere madhur giton ke sahaare
bite hain din rain hamare
teri agar aawaz na hoti
bujh jati jiwan ki joti
tere sachche sur hain aise
jaise suraj chand sitare
tere madhur giton ke sahaare
bite hain din rain hamare
kya kya tu ne git hain gae
sur jab lage man jhuk jae
tujh ko sun kar ji uThte hain
hum jaise dukh-dard ke mare
tere madhur giton ke sahaare
bite hain din rain hamare
'mira' tujh mein aan basi hai
ang wahi hai rang wahi hai
jag mein tere das hain itne
jitne hain aakash pe tare
tere madhur giton ke sahaare
bite hain din rain hamare
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 252)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.