manTo
maiñ ne us ko dekhā hai
ujlī ujlī saḌkoñ par ik gard bharī hairānī meñ
phailtī bhiiḌ ke auñdhe auñdhe kaToroñ kī tuġhyānī meñ
jab vo ḳhālī botal pheñk ke kahtā hai
''duniyā! terā husn, yahī bad-sūratī hai''
duniyā us ko ghūrtī hai
shor-e-salāsil ban kar gūñjne lagtā hai
añgāroñ bharī āñkhoñ meñ ye tund savāl
kaun hai ye jis ne apnī bahkī bahkī sāñsoñ kā jaal
bām-e-zamāñ par pheñkā hai
kaun hai jo bal khāte zamīroñ ke pur-pech dhundalkoñ meñ
rūhoñ ke ifrīt-kadoñ ke zahr-andoz mahlakoñ meñ
le aayā hai yuuñ bin pūchhe apne aap
ainak ke barfīle shīshoñ se chhantī nazroñ kī chaap
kaun hai ye gustāḳh
taaḳh taḌāḳh!
main ne us ko dekha hai
ujli ujli saDkon par ek gard bhari hairani mein
phailti bhiD ke aundhe aundhe kaToron ki tughyani mein
jab wo KHali botal phenk ke kahta hai
duniya! tera husn, yahi bad-surati hai
duniya us ko ghurti hai
shor-e-salasil ban kar gunjne lagta hai
angaron bhari aankhon mein ye tund sawal
kaun hai ye jis ne apni bahki bahki sanson ka jal
baam-e-zaman par phenka hai
kaun hai jo bal khate zamiron ke pur-pech dhundalkon mein
ruhon ke ifrit-kadon ke zahr-andoz mahlakon mein
le aaya hai yun bin puchhe apne aap
ainak ke barfile shishon se chhanti nazron ki chap
kaun hai ye gustaKH
taKH taDaKH!
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 132)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.