marsiya gopal krishn gokhle
laraz rahā thā vatan jis ḳhayāl ke Dar se
vo aaj ḳhuun rulātā hai dīda-e-tar se
sadā ye aatī hai phal phuul aur patthar se
zamīñ pe taaj girā qaum-e-hind ke sar se
habīb qaum kā duniyā se yuuñ ravāna huā
zamīñ ulaT ga.ī kyā munqalib zamāna huā
baḌhī huī thī nahūsat zavāl-e-paiham kī
tire zuhūr se taqdīr qaum kī chamkī
nigāh-e-yās thī hindustāñ pe aalam kī
ajiib shai thī magar raushnī tire dam kī
tujhī ko mulk meñ raushan dimāġh samjhe the
tujhe ġharīb ke ghar kā charāġh samjhe the
vatan ko tū ne sañvārā kis āb-o-tāb ke saath
sahar kā nuur baḌhe jaise āftāb ke saath
chune rifāh ke gul husn-e-intiḳhāb ke saath
shabāb qaum kā chamkā tire shabāb ke saath
jo aaj nashv-o-numā kā nayā zamāna hai
ye inqalāb tirī umr kā fasāna hai
rahā mizāj meñ saudā-e-qaum ḳhū ho kar
vatan kā ishq rahā dil kī aarzū ho kar
badan meñ jaan rahī vaqf-e-ābrū ho kar
ragoñ meñ josh-e-mohabbat rahe lahū ho ho kar
ḳhudā ke hukm se jab āb-o-gil banā terā
kisī shahīd kī miTTī se dil banā terā
vatan kī jaan pe kyā kyā tabāhiyāñ aa.iiñ
umañD umañD ke jihālat kī badliyāñ aa.iiñ
charāġh-e-amn bujhāne ko āñdhiyāñ aa.iiñ
diloñ meñ aag lagāne ko bijliyāñ aa.iiñ
is intishār meñ jis nuur kā sahārā thā
ufuq pe qaum ke vo ek hī sitārā thā
hadīs-e-qaum banī thī tirī zabāñ ke liye
zabāñ milī thī mohabbat kī dāstāñ ke liye
ḳhudā ne tujh ko payambar kiyā yahāñ ke liye
ki tere haath meñ nāqūs thā azaañ ke liye
vatan kī ḳhaak tirī bārgāh-e-a.alā hai
hameñ yahī na.ī masjid nayā shivālā hai
ġharīb hind ne tanhā nahīñ ye daaġh sahā
vatan se duur bhī tūfān ranj-o-ġham kā uThā
habīb kyā haiñ harīfoñ ne ye zabāñ se kahā
safīr-e-qaum jigar-band-e-saltanat na rahā
payām shah ne diyā rasm-e-ta.aziyat ke liye
ki tū sutūn thā aivān-e-saltanat ke liye
diloñ meñ naqsh haiñ ab tak tirī zabāñ ke suḳhan
hamārī raah meñ goyā charāġh haiñ raushan
faqīr the jo tire dar ke ḳhādmān-e-vatan
unheñ nasīb kahāñ hogā ab tirā dāman
tire alam meñ vo is tarah jaan khote haiñ
ki jaise baap se chhuT kar yatīm rote haiñ
ajal ke daam meñ aanā hai yuuñ to aalam ko
magar ye dil nahīñ tayyār tere mātam ko
pahāḌ kahte haiñ duniyā meñ aise hī ġham ko
miTā ke tujh ko ajal ne miTā diyā ham ko
janāza hind kā dar se tire nikaltā hai
suhāg qaum kā terī chitā meñ jaltā hai
rahegā rañj zamāne meñ yādgār tirā
vo kaun dil hai ki jis meñ nahīñ mazār tirā
jo kal raqīb thā hai aaj sogvār tirā
ḳhudā ke sāmne hai mulk sharmsār tirā
palī hai qaum tire sāya-e-karam ke tale
hameñ nasīb thī jannat tire qadam ke tale
laraz raha tha watan jis KHayal ke Dar se
wo aaj KHun rulata hai dida-e-tar se
sada ye aati hai phal phul aur patthar se
zamin pe taj gira qaum-e-hind ke sar se
habib qaum ka duniya se yun rawana hua
zamin ulaT gai kya munqalib zamana hua
baDhi hui thi nahusat zawal-e-paiham ki
tere zuhur se taqdir qaum ki chamki
nigah-e-yas thi hindustan pe aalam ki
ajib shai thi magar raushni tere dam ki
tujhi ko mulk mein raushan dimagh samjhe the
tujhe gharib ke ghar ka charagh samjhe the
watan ko tu ne sanwara kis aab-o-tab ke sath
sahar ka nur baDhe jaise aaftab ke sath
chune rifah ke gul husn-e-intiKHab ke sath
shabab qaum ka chamka tere shabab ke sath
jo aaj nashw-o-numa ka naya zamana hai
ye inqalab teri umr ka fasana hai
raha mizaj mein sauda-e-qaum KHu ho kar
watan ka ishq raha dil ki aarzu ho kar
badan mein jaan rahi waqf-e-abru ho kar
ragon mein josh-e-mohabbat rahe lahu ho ho kar
KHuda ke hukm se jab aab-o-gil bana tera
kisi shahid ki miTTi se dil bana tera
watan ki jaan pe kya kya tabahiyan aain
umanD umanD ke jihaalat ki badliyan aain
charagh-e-amn bujhane ko aandhiyan aain
dilon mein aag lagane ko bijliyan aain
is intishaar mein jis nur ka sahaara tha
ufuq pe qaum ke wo ek hi sitara tha
hadis-e-qaum bani thi teri zaban ke liye
zaban mili thi mohabbat ki dastan ke liye
KHuda ne tujh ko payambar kiya yahan ke liye
ki tere hath mein naqus tha azan ke liye
watan ki KHak teri bargah-e-ala hai
hamein yahi nai masjid naya shiwala hai
gharib hind ne tanha nahin ye dagh saha
watan se dur bhi tufan ranj-o-gham ka uTha
habib kya hain harifon ne ye zaban se kaha
safir-e-qaum jigar-band-e-saltanat na raha
payam shah ne diya rasm-e-taziyat ke liye
ki tu sutun tha aiwan-e-saltanat ke liye
dilon mein naqsh hain ab tak teri zaban ke suKHan
hamari rah mein goya charagh hain raushan
faqir the jo tere dar ke KHadman-e-watan
unhen nasib kahan hoga ab tera daman
tere alam mein wo is tarah jaan khote hain
ki jaise bap se chhuT kar yatim rote hain
ajal ke dam mein aana hai yun to aalam ko
magar ye dil nahin tayyar tere matam ko
pahaD kahte hain duniya mein aise hi gham ko
miTa ke tujh ko ajal ne miTa diya hum ko
janaza hind ka dar se tere nikalta hai
suhag qaum ka teri chita mein jalta hai
rahega ranj zamane mein yaadgar tera
wo kaun dil hai ki jis mein nahin mazar tera
jo kal raqib tha hai aaj sogwar tera
KHuda ke samne hai mulk sharmsar tera
pali hai qaum tere saya-e-karam ke tale
hamein nasib thi jannat tere qadam ke tale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.