mira-ji
Interesting Fact
Dedicated to the eminent poet Meeraji.
giit kyā kyā likh gayā kyā kyā fasāne kah gayā
naam yūñhī to nahīñ us kā adab meñ rah gayā
ek tanhā.ī rahī us kī anīs-e-zindagī
kaun jaane kaise kaise dukh vo tanhā sah gayā
soz 'mīrā' kā milā jī ko to mīrā-jī banā
dil-nashīñ likkhe suḳhan aur dhaḌkanoñ meñ rah gayā
dard jitnā bhī use bedard duniyā se milā
shā.erī meñ Dhal gayā kuchh āñsuoñ meñ bah gayā
ik na.ī chhab se jiyā vo ik ajab Dhab se jiyā
aañkh uThā kar jis ne dekhā dekhtā hī rah gayā
us se aage koī bhī jaane nahīñ paayā abhī
naqsh ban ke rah gayā jo us kī rau meñ bah gayā
git kya kya likh gaya kya kya fasane kah gaya
nam yunhi to nahin us ka adab mein rah gaya
ek tanhai rahi us ki anis-e-zindagi
kaun jaane kaise kaise dukh wo tanha sah gaya
soz 'mira' ka mila ji ko to mira-ji bana
dil-nashin likkhe suKHan aur dhaDkanon mein rah gaya
dard jitna bhi use bedard duniya se mila
shaeri mein Dhal gaya kuchh aansuon mein bah gaya
ek nai chhab se jiya wo ek ajab Dhab se jiya
aankh uTha kar jis ne dekha dekhta hi rah gaya
us se aage koi bhi jaane nahin paya abhi
naqsh ban ke rah gaya jo us ki rau mein bah gaya
- Book : Kulliyat Habeeb Jalib (Pg. 387)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.