mira-ji sahib
''mīrā-jī ko mānne vaale kam haiñ lekin ham bhī haiñ
'faiz' kī baat baḌī hai phir bhī ab vaisā kaun ā.egā''
taz.īn-e-suḳhan kī fikr na kar be-sāḳhta chal
uTh āñkheñ mal
vo kāmil dīvān aa hī gayā
duniyā bhar ko dahlā hī gayā
haañ maan liyā par bahr kā kyā badle badlī har bahr badalne vaalī hai
jis rau meñ samundar laakh bhare vo rau phir chalne vaalī hai
jab ham ne paḌhā kab chavvan meñ ka.ī na.e to un ko pahchāne
kuchh sikka-band taraqqī-pasand is jur.at par bhī burā maane
aur ham se ho ga.e begāne
yuuñ bhī koī ham ko kyā jaane
aur jab ye chhapā aTThāvan meñ to 'faiz' bahut hī aage the
jeleñ afsāne majmūye
kuchh aisā ro.ab huā qaa.em sab un ke jilau meñ bhāge the
ham jaise bhī un ke malbūsāt meñ kachche-pakke dhāge the
phir vaqt kā palḌā sirf siyāsat aur tash.hīr meñ jhuul gayā
do chaar purāne jame rahe par 'mīrā-jī' ko ek zamāna bhuul gayā
kam ahl-e-suḳhan kam ahl-e-nazar ko yaad rahā
koī 'mīrā-jī' bhī shā.er thā
vo pakistan nahīñ aa.e
kaise aate
koī ishq ke zor pe bulvātā to aa jaate
bamba.ī meñ nañge bhūke aur bīmār rahe
vaañ aḳhtar-ul-īmān hī un ke dost murabbī ḳhādim bistar-e-marg aur qabr talak ġham-ḳhvār rahe
yaañ un ke sāhib-e-quvvat chāhne vaale bhī do vaqt kī roTiyāñ dene ko bulvā na sake
ye apne apne zamīr pe hai kyā kahvā.e aur ab bhī kyā kahvā na sake
āsān-tarīn bayāñ ye hogā bulvāyā par aa na sake
aur ab un kā dīvān chhapā
dobāra vahī darbār sajā
kyā gahrā chauḌā dariyā hai
kin kin samtoñ meñ bahtā hai
jag bhar se ḳhazāne letā hai
jag bhar ko ko ḳhazāne detā hai
kyā is meñ safīne bahne lage
sab un ko qasīde kahne lage
ab 'faiz' bhī haiñ aur 'rāshid' bhī
vo bahut baḌe par 'mīrā-jī'
haañ 'mīrā-jī' vo chamakte haiñ
kyā kyā hiire kyā kyā motī kis shaan ke saath damakte haiñ
ai yār-e-ġhayāb 'majīd-amjad'
ḳhāmosh shikār-e-rashk-o-hasad
be-tash.hīrī ke said-e-zabūñ
kab jhang meñ aa kar tujh se kahūñ
le vo sach vāpas aayā hai
jo jis kā haq ho ek na ek din us ne puurā paayā hai
mira-ji ko manne wale kam hain lekin hum bhi hain
'faiz' ki baat baDi hai phir bhi ab waisa kaun aaega
tazin-e-suKHan ki fikr na kar be-saKHta chal
uTh aankhen mal
wo kaamil diwan aa hi gaya
duniya bhar ko dahla hi gaya
han man liya par bahr ka kya badle badli har bahr badalne wali hai
jis rau mein samundar lakh bhare wo rau phir chalne wali hai
jab hum ne paDha kab chawwan mein kai nae to un ko pahchane
kuchh sikka-band taraqqi-pasand is jurat par bhi bura mane
aur hum se ho gae begane
yun bhi koi hum ko kya jaane
aur jab ye chhapa aTThawan mein to 'faiz' bahut hi aage the
jelen afsane majmuye
kuchh aisa roab hua qaem sab un ke jilau mein bhage the
hum jaise bhi un ke malbusat mein kachche-pakke dhage the
phir waqt ka palDa sirf siyasat aur tashhir mein jhul gaya
do chaar purane jame rahe par 'mira-ji' ko ek zamana bhul gaya
kam ahl-e-suKHan kam ahl-e-nazar ko yaad raha
koi 'mira-ji' bhi shaer tha
wo pakistan nahin aae
kaise aate
koi ishq ke zor pe bulwata to aa jate
bambai mein nange bhuke aur bimar rahe
wan aKHtar-ul-iman hi un ke dost murabbi KHadim bistar-e-marg aur qabr talak gham-KHwar rahe
yan un ke sahib-e-quwwat chahne wale bhi do waqt ki roTiyan dene ko bulwa na sake
ye apne apne zamir pe hai kya kahwae aur ab bhi kya kahwa na sake
aasan-tarin bayan ye hoga bulwaya par aa na sake
aur ab un ka diwan chhapa
dobara wahi darbar saja
kya gahra chauDa dariya hai
kin kin samton mein bahta hai
jag bhar se KHazane leta hai
jag bhar ko ko KHazane deta hai
kya is mein safine bahne lage
sab un ko qaside kahne lage
ab 'faiz' bhi hain aur 'rashid' bhi
wo bahut baDe par 'mira-ji'
han 'mira-ji' wo chamakte hain
kya kya hire kya kya moti kis shan ke sath damakte hain
ai yar-e-ghayab 'majid-amjad'
KHamosh shikar-e-rashk-o-hasad
be-tashhiri ke said-e-zabun
kab jhang mein aa kar tujh se kahun
le wo sach wapas aaya hai
jo jis ka haq ho ek na ek din us ne pura paya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.