mirza ghaalib
mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'
apne fan meñ baḌe hushyār the mirzā 'ġhālib'
aap kā naam asadullāh thā nau-shāh laqab
mirzā ġhālib se hue baad meñ mārūf-e-adab
aaj bhī paḌh ke kalām aap kā hairat meñ haiñ sab
zulf-e-urdu meñ giraftār the mirzā ġhālib
mādar-e-hind ke fankār the mirzā ġhālib
akbarabad meñ paidā hue dehlī meñ rahe
ahd-e-tiflī hī se duniyā ke baḌe zulm sahe
ab bhī har ahl-e-suḳhan aap ko ustād kahe
saare sho.arā ke alam-dār the mirzā ġhālib
mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'
tañg-dastī meñ bhī chhoḌā na vafā kā dāman
muflisī meñ bhī na apnā.e ḳhushāmad ke chalan
ḳhūn-e-jazbāt se shādāb kiyā bāġh-e-suḳhan
fitratan shā.er-e-ḳhuddār the mirzā 'ġhālib'
mādar-e-hind ke fankār the mirzā ġhālib
aap par fārsī sho.arā kā bhī thā ḳhuub asar
mas.ala ḳhidmat-e-urdu kā bhī thā pesh-e-nazar
apne ash.ār kī azmat se bhī vāqif the magar
'mīr' jī ke bhī taraf-dār the mirzā 'ġhālib'
mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'
ḳhat-navīsī kā diyā ek anokhā andāz
guuñj uThī bazm-e-adab meñ ye nirālī āvāz
aap maidān-e-suḳhan meñ bhī the sab se mumtāz
saath hī ik baḌe nassār the mirzā 'ġhālib'
mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'
be-niyāz-e-ġham-o-ālām har ik fikr se duur
ho musībat meñ bhī rahte the hamesha masrūr
aaj bhī jin ke latīfe haiñ jahāñ meñ mash.hūr
muskurāte hue kirdār the mirzā 'ġhālib'
mādar-e-hind ke fankār the mirzā 'ġhālib'
madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'
apne fan mein baDe hushyar the mirza 'ghaalib'
aap ka nam asadullah tha nau-shah laqab
mirza ghaalib se hue baad mein maruf-e-adab
aaj bhi paDh ke kalam aap ka hairat mein hain sab
zulf-e-urdu mein giraftar the mirza ghaalib
madar-e-hind ke fankar the mirza ghaalib
akbarabad mein paida hue dehli mein rahe
ahd-e-tifli hi se duniya ke baDe zulm sahe
ab bhi har ahl-e-suKHan aap ko ustad kahe
sare shoara ke alam-dar the mirza ghaalib
madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'
tang-dasti mein bhi chhoDa na wafa ka daman
muflisi mein bhi na apnae KHushamad ke chalan
KHun-e-jazbaat se shadab kiya bagh-e-suKHan
fitratan shaer-e-KHuddar the mirza 'ghaalib'
madar-e-hind ke fankar the mirza ghaalib
aap par farsi shoara ka bhi tha KHub asar
masala KHidmat-e-urdu ka bhi tha pesh-e-nazar
apne ashaar ki azmat se bhi waqif the magar
'mir' ji ke bhi taraf-dar the mirza 'ghaalib'
madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'
KHat-nawisi ka diya ek anokha andaz
gunj uThi bazm-e-adab mein ye nirali aawaz
aap maidan-e-suKHan mein bhi the sab se mumtaz
sath hi ek baDe nassar the mirza 'ghaalib'
madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'
be-niyaz-e-gham-o-alam har ek fikr se dur
ho musibat mein bhi rahte the hamesha masrur
aaj bhi jin ke latife hain jahan mein mashhur
muskuraate hue kirdar the mirza 'ghaalib'
madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.