nehru
maiñ ne tanhā kabhī us ko dekhā nahīñ
phir bhī jab us ko dekhā vo tanhā milā
jaise sahrā meñ chashma kahīñ
yā samundar meñ mīnār-e-nūr
yā koī fikr-e-auhām meñ
fikr sadiyoñ akelī akelī rahī
zehn sadiyoñ akelā akelā milā
aur akelā akelā bhaTaktā rahā
har na.e har purāne zamāne meñ vo
be-zabāñ tīrgī meñ kabhī
aur kabhī chīḳhtī dhuup meñ
chāñdnī meñ kabhī ḳhvāb kī
us kī taqdīr thī ik musalsal talāsh
ḳhud ko DhūñDā kiyā har fasāne meñ vo
bojh se apne us kī kamar jhuk ga.ī
qad magar aur kuchh aur baḌhtā rahā
ḳhair-o-shar kī koī jañg ho
zindagī kā ho koī jihād
vo hamesha huā sab se pahle shahīd
sab se pahle vo suulī pe chaḌhtā rahā
jin taqāzoñ ne us ko diyā thā janam
un kī āġhosh meñ phir samāyā na vo
ḳhuun meñ ved gūñje hue
aur jabīñ par farozāñ azaañ
aur siine pe raqsāñ salīb
be-jhijhak sab ke qaabū meñ aayā na vo
haath meñ us ke kyā thā jo detā hameñ
sirf ik kiil us kiil kā ik nishāñ
nashsha-e-mai koī chiiz hai
ik ghaḌī do ghaḌī ek raat
aur hāsil vahī dard-e-sar
us ne zindāñ meñ lekin piyā thā jo zahr
uTh ke siine se baiThā na is kā dhuāñ
main ne tanha kabhi us ko dekha nahin
phir bhi jab us ko dekha wo tanha mila
jaise sahra mein chashma kahin
ya samundar mein minar-e-nur
ya koi fikr-e-auham mein
fikr sadiyon akeli akeli rahi
zehn sadiyon akela akela mila
aur akela akela bhaTakta raha
har nae har purane zamane mein wo
be-zaban tirgi mein kabhi
aur kabhi chiKHti dhup mein
chandni mein kabhi KHwab ki
us ki taqdir thi ek musalsal talash
KHud ko DhunDa kiya har fasane mein wo
bojh se apne us ki kamar jhuk gai
qad magar aur kuchh aur baDhta raha
KHair-o-shar ki koi jang ho
zindagi ka ho koi jihad
wo hamesha hua sab se pahle shahid
sab se pahle wo suli pe chaDhta raha
jin taqazon ne us ko diya tha janam
un ki aaghosh mein phir samaya na wo
KHun mein wed gunje hue
aur jabin par farozan azan
aur sine pe raqsan salib
be-jhijhak sab ke qabu mein aaya na wo
hath mein us ke kya tha jo deta hamein
sirf ek kil us kil ka ek nishan
nashsha-e-mai koi chiz hai
ek ghaDi do ghaDi ek raat
aur hasil wahi dard-e-sar
us ne zindan mein lekin piya tha jo zahr
uTh ke sine se baiTha na is ka dhuan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.