nur-jahan
Interesting Fact
Dedicated to the legendary singer Noor Jahan
hujūm-e-yās meñ jot aas kī tirī āvāz
ham ahl-e-dard kī hai zindagī tirī āvāz
laboñ pe khilte raheñ phuul sher-o-naġhma ke
fazā meñ rañg bikhere yūñhī tirī āvāz
dayār-e-dīda-o-dil meñ hai raushnī tujh se
hai chehra chāñd madhur chāñdnī tirī āvāz
ho naaz kyuuñ na muqaddar pe apne 'nūr-jahāñ'
tujhe qarīb se dekhā sunī tirī āvāz
na miT sakegā tirā naam rahtī duniyā tak
rahegī yūñhī sadā gūñjtī tirī āvāz
hujum-e-yas mein jot aas ki teri aawaz
hum ahl-e-dard ki hai zindagi teri aawaz
labon pe khilte rahen phul sher-o-naghma ke
faza mein rang bikhere yunhi teri aawaz
dayar-e-dida-o-dil mein hai raushni tujh se
hai chehra chand madhur chandni teri aawaz
ho naz kyun na muqaddar pe apne 'nur-jahan'
tujhe qarib se dekha suni teri aawaz
na miT sakega tera nam rahti duniya tak
rahegi yunhi sada gunjti teri aawaz
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 403)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.