saneha
Interesting Fact
On Mahatma Gandhi's assassination
dard-o-ġham-e-hayāt kā darmāñ chalā gayā
vo ḳhizr-e-asr-o-īsa-e-daurāñ chalā gayā
hindū chalā gayā na musalmāñ chalā gayā
insāñ kī justujū meñ ik insāñ chalā gayā
raqsāñ chalā gayā na ġhazal-ḳhvāñ chalā gayā
soz-o-gudāz o dard meñ ġhaltāñ chalā gayā
barham hai zulf-e-kufr to īmāñ sar-nigūñ
vo faḳhr-e-kufr o nāzish-e-īmāñ chalā gayā
bīmār zindagī kī kare kaun dil-dahī
nabbāz o chārasāz-e-marīzāñ chalā gayā
kis kī nazar paḌegī ab ''isyāñ'' pe lutf kī
vo mahram-e-nazākat-e-isyāñ chalā gayā
vo rāz-dār-er-mahfil-e-yārāñ nahīñ rahā
vo ġham-gusār-e-bazm-e-arīfāñ chalā gayā
ab kāfirī meñ rasm-o-rāh-e-dilbarī nahīñ
īmāñ kī baat ye hai ki īmāñ chalā gayā
ik be-ḳhud-e-surūr-e-dil-o-jāñ nahīñ rahā
ik āshiq-e-sadāqat-e-pinhāñ chalā gayā
bā-chashm-e-nam hai aaj zuleḳhā-e-kā.enāt
zindāñ-shikan vo yūsuf-e-zindāñ chalā gayā
ai aarzū vo chashma-e-haivāñ na kar talāsh
zulmāt se vo chashma-e-haivāñ chalā gayā
ab sañg-o-ḳhisht o ḳhaak o ḳhazaf sar-buland haiñ
tāj-e-vatan kā la.al-e-daraḳhshāñ chalā gayā
ab ahrman ke haath meñ hai teġh-e-ḳhūñ-chakāñ
ḳhush hai ki dast-o-bāzū-e-yazdāñ chalā gayā
dev-e-badī se mārk-e-saḳht hī sahī
ye to nahīñ ki zor-e-javānāñ chalā gayā
kyā ahl-e-dil meñ jazba-e-ġhairat nahīñ rahā
kyā azm-e-sar-faroshī-e-mardāñ chalā gayā
kyā bāġhiyoñ kī ātish-e-dil sard ho ga.ī
kyā sarkashoñ kā jazba-e-pinhāñ chalā gayā
kyā vo junūn-o-jazba-e-bedār mar gayā
kyā vo shabāb-e-hashr-badāmāñ chalā gayā
ḳhush hai badī jo daam ye nekī pe Daal ke
rakh deñge ham badī kā kaleja nikāl ke
dard-o-gham-e-hayat ka darman chala gaya
wo KHizr-e-asr-o-isa-e-dauran chala gaya
hindu chala gaya na musalman chala gaya
insan ki justuju mein ek insan chala gaya
raqsan chala gaya na ghazal-KHwan chala gaya
soz-o-gudaz o dard mein ghaltan chala gaya
barham hai zulf-e-kufr to iman sar-nigun
wo faKHr-e-kufr o nazish-e-iman chala gaya
bimar zindagi ki kare kaun dil-dahi
nabbaz o chaarasaz-e-marizan chala gaya
kis ki nazar paDegi ab isyan pe lutf ki
wo mahram-e-nazakat-e-isyan chala gaya
wo raaz-dar-er-mahfil-e-yaran nahin raha
wo gham-gusar-e-bazm-e-arifan chala gaya
ab kafiri mein rasm-o-rah-e-dilbari nahin
iman ki baat ye hai ki iman chala gaya
ek be-KHud-e-surur-e-dil-o-jaan nahin raha
ek aashiq-e-sadaqat-e-pinhan chala gaya
ba-chashm-e-nam hai aaj zuleKHa-e-kaenat
zindan-shikan wo yusuf-e-zindan chala gaya
ai aarzu wo chashma-e-haiwan na kar talash
zulmat se wo chashma-e-haiwan chala gaya
ab sang-o-KHisht o KHak o KHazaf sar-buland hain
taj-e-watan ka lal-e-daraKHshan chala gaya
ab ahrman ke hath mein hai tegh-e-KHun-chakan
KHush hai ki dast-o-bazu-e-yazdan chala gaya
dew-e-badi se mark-e-saKHt hi sahi
ye to nahin ki zor-e-jawanan chala gaya
kya ahl-e-dil mein jazba-e-ghairat nahin raha
kya azm-e-sar-faroshi-e-mardan chala gaya
kya baghiyon ki aatish-e-dil sard ho gai
kya sarkashon ka jazba-e-pinhan chala gaya
kya wo junun-o-jazba-e-bedar mar gaya
kya wo shabab-e-hashr-badaman chala gaya
KHush hai badi jo dam ye neki pe Dal ke
rakh denge hum badi ka kaleja nikal ke
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 182)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.