sadr-e-jamhuriya-e-hind
Interesting Fact
Dedicated to the Honourable President of India, Fakhruddin Ali Ahmed
sadr-e-jamhūriya-e-hind
yaqīnan aap faḳhruddīn bhī nāz-e-umam bhī haiñ
alī-ahmad bhī haiñ āgāh ādāb-e-haram bhī haiñ
vaqār-e-hosh bhī azmat-faroz-e-ilm-o-dānish bhī
girāmī-qadr bhī zī-tamkanat bhī mohtaram bhī haiñ
tab-o-tāb-e-chaman bhī zauq-e-tamkīn-e-bahārāñ bhī
jahān-e-shauq kā afsāna-e-jāh-o-hasham bhī haiñ
karishma hai ḳhudā kā aap ke ausāf ke qaa.il
dayār-e-barahman ke devtā bhī haiñ sanam bhī haiñ
taqaddus mauj-e-dariyā kā latāfat ābgīne kī
mujassam shaukat-e-daurāñ sarāpā jām-e-jam bhī haiñ
jalāl-e-barq bhī haiñ zālimoñ ke vāste lekin
ġharīboñ ke liye sarmāya-e-lutf-o-karam bhī haiñ
jo nisbat aap ko 'ġhālib' se hai us ke ta.alluq se
qadam-bosī ke ḳhvāhāñ sāhib-e-saif-o-qalam bhī haiñ
sadr-e-jamhuriya-e-hind
yaqinan aap faKHruddin bhi naz-e-umam bhi hain
ali-ahmad bhi hain aagah aadab-e-haram bhi hain
waqar-e-hosh bhi azmat-faroz-e-ilm-o-danish bhi
girami-qadr bhi zi-tamkanat bhi mohtaram bhi hain
tab-o-tab-e-chaman bhi zauq-e-tamkin-e-bahaaran bhi
jahan-e-shauq ka afsana-e-jah-o-hasham bhi hain
karishma hai KHuda ka aap ke ausaf ke qail
dayar-e-barahman ke dewta bhi hain sanam bhi hain
taqaddus mauj-e-dariya ka latafat aabgine ki
mujassam shaukat-e-dauran sarapa jam-e-jam bhi hain
jalal-e-barq bhi hain zalimon ke waste lekin
gharibon ke liye sarmaya-e-lutf-o-karam bhi hain
jo nisbat aap ko 'ghaalib' se hai us ke talluq se
qadam-bosi ke KHwahan sahib-e-saif-o-qalam bhi hain
- Book : Karwan-e-azadi (Pg. 188)
- Author : Masood Akhtar Jamal
- Publication : Basmah Khatoon (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.