shahid bhagat-singh
zindāñ meñ shahīdoñ kā vo sardār aayā
shaidā-e-vatan paikar-e-īsār aayā
hai dār-o-rasan kī sarfarāzī kā din
sardār bhagat-singh sardār aayā
tā-dār-o-rasan shauq se iThlā ke gayā
to shān-e-shahādat apnī dikhlā ke gayā
TukḌe hotā hai dil tire mātam meñ
lāshe kā añg añg kaTvā ke gayā
pī kar mai-e-shauq jhūmnā vo terā
be-parvāyāna ghūmnā vo terā
hai naqsh tire ahl-e-vatan ke dil par
phāñsī kī rasan ko chūmnā vo terā
jām-e-hubb-e-vatan ke ai matvāle
ai paikar-e-nāmūs hamiyyat vaale
ho ālam-e-arvāh meñ shādāñ ki nahīñ
ab tere vatan meñ vo hukūmat vaale
zindan mein shahidon ka wo sardar aaya
shaida-e-watan paikar-e-isar aaya
hai dar-o-rasan ki sarfaraazi ka din
sardar bhagat-singh sardar aaya
ta-dar-o-rasan shauq se iThla ke gaya
to shan-e-shahadat apni dikhla ke gaya
TukDe hota hai dil tere matam mein
lashe ka ang ang kaTwa ke gaya
pi kar mai-e-shauq jhumna wo tera
be-parwayana ghumna wo tera
hai naqsh tere ahl-e-watan ke dil par
phansi ki rasan ko chumna wo tera
jam-e-hubb-e-watan ke ai matwale
ai paikar-e-namus hamiyyat wale
ho aalam-e-arwah mein shadan ki nahin
ab tere watan mein wo hukumat wale
- Book : Urdu Mein Qaumi Shairi Ke Sau Saal (Pg. 238)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1982,Editon II 2010)
- Edition : 1982,Editon II 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.