Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shri guru-nanak

Shatir Amritsari

shri guru-nanak

Shatir Amritsari

MORE BYShatir Amritsari

    rāz-e-qudrat ke ḳhabar-dār gurū-nānak the

    vāqif-e-ālam-e-asrār gurū-nānak the

    nasha-e-husn-e-haqīqī se the madhosh-e-azal

    bāda-e-nāb se sarshār gurū-nānak the

    kyuuñ mahak uThtā na ḳhushbū se dimāġh-e-ālam

    nighat-e-gulshan-e-isrār gurū-nānak the

    zikr-e-ma.abūd-e-haqīqī meñ zabān se 'shātir'

    sāya-e-rahmat-e-ġhaffār gurū-nānak the

    raaz-e-qudrat ke KHabar-dar guru-nanak the

    waqif-e-alam-e-asrar guru-nanak the

    nasha-e-husn-e-haqiqi se the madhosh-e-azal

    baada-e-nab se sarshaar guru-nanak the

    kyun mahak uThta na KHushbu se dimagh-e-alam

    nighat-e-gulshan-e-israr guru-nanak the

    zikr-e-mabud-e-haqiqi mein zaban se 'shatir'

    saya-e-rahmat-e-ghaffar guru-nanak the

    Source:

    Ruh-e-Sukhan (hisa dom) (Pg. 83(e) 85 )

    • Author: Swami Dayal Biswani
      • Edition: 1989
      • Publisher: Matba Nami Press, Lucknow
      • Year of Publication: 1971

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now