shri lal bahadur shastari wazir-e-azam hind
Interesting Fact
Died on 11th Jan 1966 in Tashkent
ai bahādur-lāl ai bhārat supūt
tū thā amn-o-āshtī kā pāsdār
amn kī ḳhātir gayā thā tāshqand
tū ne kar dī jaan bhī us par nisār
amn-o-sul.h-o-jañg meñ yaktā thā tū
bhārtī tahzīb kā ā.īna-dār
paikar-e-ijz-o-ḳhulūs-o-sādgī
tū thā tahzīb-o-tamaddun kā nikhār
tū ne yak-jihatī atā kī qaum ko
ektā kā daan bhārat ko diyā
sar huā ūñchā hamārā har jagah
tū ne vo sammān bhārat ko diyā
azm terā āhanī dīvār thā
salmiyat mulk kī thī terī jaan
shān-e-mulk-o-qaum thī pesh-e-nazar
tujh ko apnī jaan se baḌh kar thī aan
ho ga.ī gul sham.a de kar raushnī
tāqateñ amn-o-amāñ kī DaT ga.iiñ
zindagī ke saath vābasta hai maut
ye haqīqat hai magar kitnī ajiib
ham ko ye ehsās hotā hī nahīñ
zindagī se maut hai utnī qarīb
zulmat-e-shab se sahar kī dilkashī
yaas se ummīd kā raushan hai naam
maut ke roke bhī ruk saktā nahīñ
zindagī kā kārvāñ tez-gām
hind hai is qāfile kā rahnumā
kārvāñ-sālār mīr-e-kārvāñ
amn-e-ālam kā alam-bardār hai
amn-parvar sulh-jū hindostāñ
ai bahadur-lal ai bhaarat suput
tu tha amn-o-ashti ka pasdar
amn ki KHatir gaya tha tashqand
tu ne kar di jaan bhi us par nisar
amn-o-sulh-o-jang mein yakta tha tu
bhaarti tahzib ka aaina-dar
paikar-e-ijz-o-KHulus-o-sadgi
tu tha tahzib-o-tamaddun ka nikhaar
tu ne yak-jihati ata ki qaum ko
ekta ka dan bhaarat ko diya
sar hua uncha hamara har jagah
tu ne wo samman bhaarat ko diya
azm tera aahani diwar tha
salmiyat mulk ki thi teri jaan
shan-e-mulk-o-qaum thi pesh-e-nazar
tujh ko apni jaan se baDh kar thi aan
ho gai gul shama de kar raushni
taqaten amn-o-aman ki DaT gain
zindagi ke sath wabasta hai maut
ye haqiqat hai magar kitni ajib
hum ko ye ehsas hota hi nahin
zindagi se maut hai utni qarib
zulmat-e-shab se sahar ki dilkashi
yas se ummid ka raushan hai nam
maut ke roke bhi ruk sakta nahin
zindagi ka karwan tez-gam
hind hai is qafile ka rahnuma
karwan-salar mir-e-karwan
amn-e-alam ka alam-bardar hai
amn-parwar sulh-ju hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.