zakir pyare
saare vatan ke raaj dulāre
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
bhārat maañ kī aañkh ke taare
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
buniyādī ta.alīm ke baanī
hubb-e-vatan kī zinda kahānī
ilm ke dariyā amn ke dhāre
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
ma.amūlī ustād se baḌh kar
ban ga.e saare mulk ke rahbar
ġham se kabhī himmat hī na haare
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
dekh ke terī jehd-e-musalsal
chhaT ga.e ḳhud hī dukh ke bādal
phuul bane ġham ke angāre
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
gāñdhī jī ke raaz ke mahram
aur javāhar laal ke hamdam
amn-o-amāñ ke pālan-hāre
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
āzādī ke diip jalā.e
tū ne vatan se duur bhagā.e
ahd-e-ġhulāmī ke añdhiyāre
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
mushtarka tahzīb ke maz.har
ijz-o-ḳhulūs aḳhlāq ke paikar
sab kī ummīdoñ ke sahāre
sadr-e-hukūmat zākir pyāre
tū hai vatan kā rahbar sachchā
kyoñ na vatan kā bachcha bachcha
naam tirā izzat se pukāre
sadr-e-hukūmat zākir piyāre
sare watan ke raj dulare
sadr-e-hukumat zakir pyare
bhaarat man ki aankh ke tare
sadr-e-hukumat zakir pyare
buniyaadi talim ke bani
hubb-e-watan ki zinda kahani
ilm ke dariya amn ke dhaare
sadr-e-hukumat zakir pyare
mamuli ustad se baDh kar
ban gae sare mulk ke rahbar
gham se kabhi himmat hi na haare
sadr-e-hukumat zakir pyare
dekh ke teri jehd-e-musalsal
chhaT gae KHud hi dukh ke baadal
phul bane gham ke angare
sadr-e-hukumat zakir pyare
gandhi ji ke raaz ke mahram
aur jawahar lal ke hamdam
amn-o-aman ke palan-haare
sadr-e-hukumat zakir pyare
aazadi ke dip jalae
tu ne watan se dur bhagae
ahd-e-ghulami ke andhiyare
sadr-e-hukumat zakir pyare
mushtarka tahzib ke mazhar
ijz-o-KHulus aKHlaq ke paikar
sab ki ummidon ke sahaare
sadr-e-hukumat zakir pyare
tu hai watan ka rahbar sachcha
kyon na watan ka bachcha bachcha
nam tera izzat se pukare
sadr-e-hukumat zakir piyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.