pesh lafz ek mohabbat name ka
kamre kī sīlan se uktā kar
kahīñ chalī ga.ī hai
mere hisse kī dhuup
bandhan se Darne vaalī chiḌiyā
uḌ rahī hai khokhle ākāsh meñ
aur maiñ
maiñ to istiqbāl bhī nahīñ kar saktā
kisī na.ī aahaT kā
kyūñki Dar gayā huuñ maiñ
aate hue qadmoñ kī
lauTtī huī bāzgasht se
merī āñkhoñ meñ jam ga.ī hai
udaas lū bharī dopahar
himāla kī choTī par jamne vaalī barf kī taraf
maiñ bhuul chukā huuñ
amaltās ke phuul se apnā pahlā mukālima
kamre ke kis darvāze se
khiḌkī se yā rauzan se
dāḳhil huī thī sūraj kī pahlī kiran
mujhe kuchh yaad nahīñ
ek behad masrūf lamhe ke liye
sambhāl rakkhā thā maiñ ne
bahut saarā ḳhālī vaqt
apnī āñkhoñ meñ
apne hoñToñ par
apnī bāñhoñ ke TūTte hue ghere meñ
be-hañgam ḳhvāboñ ke bikharte dā.ere meñ
kisī basantī jism ke pahle tyauhār meñ
adhūrā chhoḌ aayā maiñ apnā raqs
mere ishq se kahīñ ziyāda lambī thī
mere prem patr kī bhūmikā
kamre ki silan se ukta kar
kahin chali gai hai
mere hisse ki dhup
bandhan se Darne wali chiDiya
uD rahi hai khokhle aakash mein
aur main
main to istiqbaal bhi nahin kar sakta
kisi nai aahaT ka
kyunki Dar gaya hun main
aate hue qadmon ki
lauTti hui bazgasht se
meri aankhon mein jam gai hai
udas lu bhari dopahar
himala ki choTi par jamne wali barf ki taraf
main bhul chuka hun
amaltas ke phul se apna pahla mukalima
kamre ke kis darwaze se
khiDki se ya rauzan se
daKHil hui thi suraj ki pahli kiran
mujhe kuchh yaad nahin
ek behad masruf lamhe ke liye
sambhaal rakkha tha main ne
bahut sara KHali waqt
apni aankhon mein
apne honTon par
apni banhon ke TuTte hue ghere mein
be-hangam KHwabon ke bikharte daere mein
kisi basanti jism ke pahle tyauhaar mein
adhura chhoD aaya main apna raqs
mere ishq se kahin ziyaada lambi thi
mere prem patr ki bhumika
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.