peTu sahab
ek the peTū sāhab jin kī chhe foot thī ūñchā.ī
baiThe baiThe pahlū badleñ das roTī khā jaa.eñ
ik din peTū sāhab ko is ghar se dāvat aa.ī
din chhupne se pahle peTū us ghar par jā dhamke
dastar-ḳhvān lagā to baiThe kuchh tan ke kuchh jam ke
pahle roTī sālan saare ghar-bhar kā khā Daalā
phir ghar kī baaqī chīzoñ kā niklā ḳhuub dīvāla
bārah laDDū biis imirtī sola bālū-shāhī
chaudah kele darjan chīkū halva ek kaḌāhī
ghabrā kar ghar ke mālik ne naukar ko dauḌāyā
ek kilo bāzār se halva gājar kā mañgvāyā
halva khā kar bole peTū de moñchhoñ par taav
yaar zarā andar se thoḌā sā namkīn mañgāo
thoḌī daal bachī thī pī lī phir loTā bhar paanī
ghar kī hālat jaan chuke the so uThne kī Thānī
sāhab-e-ḳhāna bole baiTho baiTho kuchh farmāo
ghar meñ juute aur bache haiñ vo bhī khāte jaao
ek the peTu sahab jin ki chhe foot thi unchai
baiThe baiThe pahlu badlen das roTi kha jaen
ek din peTu sahab ko is ghar se dawat aai
din chhupne se pahle peTu us ghar par ja dhamke
dastar-KHwan laga to baiThe kuchh tan ke kuchh jam ke
pahle roTi salan sare ghar-bhar ka kha Dala
phir ghar ki baqi chizon ka nikla KHub diwala
barah laDDu bis imirti sola baalu-shahi
chaudah kele darjan chiku halwa ek kaDahi
ghabra kar ghar ke malik ne naukar ko dauDaya
ek kilo bazar se halwa gajar ka mangwaya
halwa kha kar bole peTu de monchhon par taw
yar zara andar se thoDa sa namkin mangao
thoDi dal bachi thi pi li phir loTa bhar pani
ghar ki haalat jaan chuke the so uThne ki Thani
sahab-e-KHana bole baiTho baiTho kuchh farmao
ghar mein jute aur bache hain wo bhi khate jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.