phiki zard dopahr
ḳhāmosh Dhalī dopahr
ākāsh kā khoyā khoyā niil
thakī thakī bīmār havā
vaqt ke chalte Dore se kuchh der alag suune lamhe
ehsās kī zard lakīreñ
yaad ke phīke saa.e
duur duur be-rañg ufuq
shānt samundar kī sūrat ik phailā phailā sā Thahrāo
bujhā bujhā uchāT sā dil
uubī uubī soch
uktāhaT meñ ik an-jānī vahshat sī
suune lamhoñ ke bāhar
jīvan ke guzarte shor kā ik bojhal sā ḳhayāl
is phaile phaile Thahrāo kī be-kaifī meñ
ġharqābī sī
vīrānī sī
KHamosh Dhali dopahr
aakash ka khoya khoya nil
thaki thaki bimar hawa
waqt ke chalte Dore se kuchh der alag sune lamhe
ehsas ki zard lakiren
yaad ke phike sae
dur dur be-rang ufuq
shant samundar ki surat ek phaila phaila sa Thahrao
bujha bujha uchaT sa dil
ubi ubi soch
uktahaT mein ek an-jaani wahshat si
sune lamhon ke bahar
jiwan ke guzarte shor ka ek bojhal sa KHayal
is phaile phaile Thahrao ki be-kaifi mein
gharqabi si
virani si
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 27)
- Author : abdul ahad saaz
- Publication : qalam publications bapn khote street bombay (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.