phir na dekhe bahaar ki surat
ghar ke naqsh-o-nigār kī sūrat
naqsh hai dil pe yaar kī sūrat
uf ye dam toḌtī huī sham.eñ
añkhḌiyoñ meñ ḳhumār kī sūrat
har darīche meñ hai charāġh kā gul
ab hai ye intizār kī sūrat
ab dhaḌaktā hai baar baar dimāġh
dil-e-be-iḳhtiyār kī sūrat
bas yūñhī aate jaate milte haiñ
ham bhī lail-o-nahār kī sūrat
us kā aanā bhī ik qayāmat thā
mahshar-e-intizār kī sūrat
gard kī tarah baiTh jā.eñge
jo uThe haiñ ġhubār kī sūrat
apnī mahrūmiyoñ kā jashn manā.eñ
aao jashn-e-bahār kī sūrat
ye sadī bhī guzar hī jā.egī
shutar-e-be-mahār kī sūrat
vaañ bhī sahtī hai dhuup kī yalġhār
shajar-e-sāya-dār kī sūrat
sar-e-tūfāñ guzār lo 'naqvī'
ik yahī hai qarār kī sūrat
ghar ke naqsh-o-nigar ki surat
naqsh hai dil pe yar ki surat
uf ye dam toDti hui shamen
ankhDiyon mein KHumar ki surat
har dariche mein hai charagh ka gul
ab hai ye intizar ki surat
ab dhaDakta hai bar bar dimagh
dil-e-be-iKHtiyar ki surat
bas yunhi aate jate milte hain
hum bhi lail-o-nahaar ki surat
us ka aana bhi ek qayamat tha
mahshar-e-intizar ki surat
gard ki tarah baiTh jaenge
jo uThe hain ghubar ki surat
apni mahrumiyon ka jashn manaen
aao jashn-e-bahaar ki surat
ye sadi bhi guzar hi jaegi
shutar-e-be-mahaar ki surat
wan bhi sahti hai dhup ki yalghaar
shajar-e-saya-dar ki surat
sar-e-tufan guzar lo 'naqwi'
ek yahi hai qarar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.