phir wahi shab ke sarabon ka chalan!
phir vahī ḳhvāb-numā
shab ke sarāboñ kā chalan jaarī hai
shab ki is baar safīrān-e-chaman
aur bhī kuchh bhārī hai
gul pe shabnam pe anādil pe
sabā aur havā sab pe
vahī sehr-e-alam taarī hai
phir usī tarz-e-kuhan
meñ nayā andāz-e-fusūñ-kārī hai
saḳht mushkil meñ haiñ
ai jān-e-vafā arz-e-vatan
harf-e-maqsūd raqīboñ ko gavāra bhī nahīñ
kyā kareñ sabr kā yaarā bhī nahīñ
kaise ta.amīr kī taz.īn kī phir baat kareñ
ḳhūn-e-dil nazr-e-girāñ-bāri-e-auqāt kareñ
ham tahī-dast jo aahoñ meñ asar māñgte haiñ
sabz-o-shādāb hasīñ ḳhuld-e-nazar māñgte haiñ
apnī majbūr tamannā kā nagar māñgte haiñ
ek be-dāġh sahar māñgte haiñ!!
phir wahi KHwab-numa
shab ke sarabon ka chalan jari hai
shab ki is bar safiran-e-chaman
aur bhi kuchh bhaari hai
gul pe shabnam pe anadil pe
saba aur hawa sab pe
wahi sehr-e-alam tari hai
phir usi tarz-e-kuhan
mein naya andaz-e-fusun-kari hai
saKHt mushkil mein hain
ai jaan-e-wafa arz-e-watan
harf-e-maqsud raqibon ko gawara bhi nahin
kya karen sabr ka yara bhi nahin
kaise tamir ki tazin ki phir baat karen
KHun-e-dil nazr-e-giran-bari-e-auqat karen
hum tahi-dast jo aahon mein asar mangte hain
sabz-o-shadab hasin KHuld-e-nazar mangte hain
apni majbur tamanna ka nagar mangte hain
ek be-dagh sahar mangte hain!!
- Book : ajnabii musamo.n ki khushboo (Pg. 80)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.