sitāre
ab numū kī aag maddham hotī jaatī hai
havā meñ nik.hatoñ kī tāzgī kam hotī jaatī hai
chamakte bāġhiyoñ kī jhaag maddham hotī jaatī hai
sitāre
ḳhaak meñ roīdagī kam hotī jaatī hai
magar vo phuul to yaktā thā
un saare gulāboñ meñ
usī kā aks thā
mere lahū meñ mere ḳhvāboñ meñ
sitāre
ruuh meñ us kā nishāñ
ab kyuuñ nahīñ miltā
sitāre
mere pahlū meñ vo gul ab kyuuñ nahīñ khiltā
sitare
ab numu ki aag maddham hoti jati hai
hawa mein nikhaton ki tazgi kam hoti jati hai
chamakte baghiyon ki jhag maddham hoti jati hai
sitare
KHak mein roidagi kam hoti jati hai
magar wo phul to yakta tha
un sare gulabon mein
usi ka aks tha
mere lahu mein mere KHwabon mein
sitare
ruh mein us ka nishan
ab kyun nahin milta
sitare
mere pahlu mein wo gul ab kyun nahin khilta
- Book : meyaar (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.