phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
jin sar-afrāzoñ kī rūheñ aaj haiñ aflāk par
maut ḳhud hairāñ thī jin kī jur.at-e-be-bāk par
naqsh jin ke naam haiñ ab tak dil-e-ġhamnāk par
rahmat-e-īzad ho daa.im in kī jān-e-pāk par
phuul barsāo shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par
phuul barsāo ki phūloñ meñ hai ḳhushbu-e-vafā
thī sarisht-e-pāk in kī āshiq-e-jū-e-vafā
maut par un kī ga.e jo rū-e-dar-rū-e-vafā
kyuuñ na hoñ ahl-e-vatan ke ashk-e-ḳhūñ jū-e-vafā
phuul barsāo shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par
the vo faḳhr-e-ādamiyat iftiḳhār-e-zindagī
the vo insāñ turra-e-tāj-e-vaqār-e-zindagī
un ke dam se thā chaman ye ḳhār-zār-e-zindagī
thā nafas un kā nasīm-e-ḳhush-gavār-e-zindagī
phuul barsāo shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par
chashm-e-zāhir-bīñ samajhtī hai ki bas vo mar ga.e
dar-haqīqat maut ko faanī vo sābit kar ga.e
jo vatan ke vāste kaTvā ke apne sar ga.e
ḳhuuñ se apne rañg tasvīr-e-vafā meñ bhar ga.e
phuul barsāo shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par
dekh lenā ḳhūn-e-nāhaq rañg ik din lā.egā
ḳhud-ġharaz zālim kiye par apne ḳhud pachhtā.egā
raah par daur-e-zamāñ āḳhir kabhī to aa.egā
āsmāñ is ḳhaak kī taqdīr ko chamkā.egā
phuul barsāo shahīdān-e-vatan kī ḳhaak par
jin sar-afraazon ki ruhen aaj hain aflak par
maut KHud hairan thi jin ki jurat-e-be-bak par
naqsh jin ke nam hain ab tak dil-e-ghamnak par
rahmat-e-izad ho daim in ki jaan-e-pak par
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
phul barsao ki phulon mein hai KHushbu-e-wafa
thi sarisht-e-pak in ki aashiq-e-ju-e-wafa
maut par un ki gae jo ru-e-dar-ru-e-wafa
kyun na hon ahl-e-watan ke ashk-e-KHun ju-e-wafa
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
the wo faKHr-e-adamiyat iftiKHar-e-zindagi
the wo insan turra-e-taj-e-waqar-e-zindagi
un ke dam se tha chaman ye KHar-zar-e-zindagi
tha nafas un ka nasim-e-KHush-gawar-e-zindagi
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
chashm-e-zahir-bin samajhti hai ki bas wo mar gae
dar-haqiqat maut ko fani wo sabit kar gae
jo watan ke waste kaTwa ke apne sar gae
KHun se apne rang taswir-e-wafa mein bhar gae
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
dekh lena KHun-e-nahaq rang ek din laega
KHud-gharaz zalim kiye par apne KHud pachhtaega
rah par daur-e-zaman aaKHir kabhi to aaega
aasman is KHak ki taqdir ko chamkaega
phul barsao shahidan-e-watan ki KHak par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.