phul khila be-hijab
dard kī sauġhāt thī
raah ke malbūs the kāñToñ ke haar
moḌ bahut aa.e haiñ
naam rakhā dasht-o-dar
aur isī dasht meñ
tū bhī thī ḳhāna-ḳharāb maiñ bhī ḳhāna-ḳharāb
Tal hī ga.ī sā.at-e-qaht-e-damishq
hosh sivā hai magar
hosh nahīñ aa.egā
jaise baham shabnam-o-gul hoñ yuuñ hī ḳhvāb-e-ishq
shabnam-e-ta.abīr se mauj-e-junūñ-ḳhez hai
chashm-e-fusūñ-sāz ne ek afsāna kahā
dil ne use sun liyā
lamha-e-jāved kī
ek hī tafsīr hai
qasr-e-zuleḳhā meñ aaj
yūsuf-e-kan.āñ kī pazīrā.ī hai
vasl kī be-tāb khaḌī aa.ī hai
hīla-e-parvez hai
dohā charāġh-e-sahar
Tal hī ga.ī sā.at-e-qaht-e-damishq
phuul khilā be-hijāb
jaag uThe dasht-o-dar
rañj meñ rāhat meñ bhī
ek hī mausam ko milā hai sabāt
shauq kī tanvīr se kaise farozāñ haiñ baam
maiñ ne likhī kā.enāt
dil ke asīroñ ke naam
dard ki saughat thi
rah ke malbus the kanTon ke haar
moD bahut aae hain
nam rakha dasht-o-dar
aur isi dasht mein
tu bhi thi KHana-KHarab main bhi KHana-KHarab
Tal hi gai saat-e-qaht-e-damishq
hosh siwa hai magar
hosh nahin aaega
jaise baham shabnam-o-gul hon yun hi KHwab-e-ishq
shabnam-e-tabir se mauj-e-junun-KHez hai
chashm-e-fusun-saz ne ek afsana kaha
dil ne use sun liya
lamha-e-jawed ki
ek hi tafsir hai
qasr-e-zuleKHa mein aaj
yusuf-e-kanan ki pazirai hai
wasl ki be-tab khaDi aai hai
hila-e-parwez hai
doha charagh-e-sahar
Tal hi gai saat-e-qaht-e-damishq
phul khila be-hijab
jag uThe dasht-o-dar
ranj mein rahat mein bhi
ek hi mausam ko mila hai sabaat
shauq ki tanwir se kaise farozan hain baam
main ne likhi kaenat
dil ke asiron ke nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.