phul luTate bachche
hañste bachche gaate bachche
jīvan jot jagāte bachche
lākhoñ svāñg rachāte bachche
ghar bhar ko bahlāte bachche
ammī ko samjhāte bachche
daddy se itrāte bachche
apne bhole-pan se sab kī
bigḌī baat banāte bachche
ghar se paḌhne paḌh ke ghar ko
aate bachche jaate bachche
jīvan kī sunsān Dagar par
lākhoñ phuul luTāte bachche
ek ḳhushī kī chiñgārī se
pal pal diip jalāte bachche
pyaar kī is pyāsī dhartī par
amrit ras barsāte bachche
raat huī to bhuul ke sab kuchh
so ga.e niiñd ke maate bachche
sun ke kahānī daadī maañ se
ḳhvāboñ meñ iThlāte bachche
sapnoñ kī devī ke mehmāñ
din bhar shor machāte bachche
sub.h huī to phir jaag uTThe
lahrāte itrāte bachche
nanhe munne pyāre pyāre
mīThe bol sunāte bachche
desh kī shobhā ghar kī zīnat
dil meñ raah banāte bachche
kal kī ik daulat haiñ 'shākir'
aaj ke hañste-gāte bachche
hanste bachche gate bachche
jiwan jot jagate bachche
lakhon swang rachate bachche
ghar bhar ko bahlate bachche
ammi ko samjhate bachche
daddy se itraate bachche
apne bhole-pan se sab ki
bigDi baat banate bachche
ghar se paDhne paDh ke ghar ko
aate bachche jate bachche
jiwan ki sunsan Dagar par
lakhon phul luTate bachche
ek KHushi ki chingari se
pal pal dip jalate bachche
pyar ki is pyasi dharti par
amrit ras barsate bachche
raat hui to bhul ke sab kuchh
so gae nind ke mate bachche
sun ke kahani dadi man se
KHwabon mein iThlate bachche
sapnon ki dewi ke mehman
din bhar shor machate bachche
subh hui to phir jag uTThe
lahraate itraate bachche
nanhe munne pyare pyare
miThe bol sunate bachche
desh ki shobha ghar ki zinat
dil mein rah banate bachche
kal ki ek daulat hain 'shakir'
aaj ke hanste-gate bachche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.