phul murjha gae sare
phuul murjhā ga.e haiñ saare
thamte nahīñ haiñ āsmāñ ke aañsū
sham.eñ be-nūr ho ga.ī haiñ
ā.īne chuur ho ga.e haiñ
saaz sab baj ke kho ga.e haiñ
pāyaleñ baj ke so ga.ī haiñ
aur in bādaloñ ke pīchhe
duur is raat kā dulārā
dard kā sitārā
TimTimā rahā hai
jhanjhanā rahā hai
muskurā rahā hai
phul murjha gae hain sare
thamte nahin hain aasman ke aansu
shamen be-nur ho gai hain
aaine chur ho gae hain
saz sab baj ke kho gae hain
payalen baj ke so gai hain
aur in baadalon ke pichhe
dur is raat ka dulara
dard ka sitara
TimTima raha hai
jhanjhana raha hai
muskura raha hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 615)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.