phul
tujh se mahkā saarā gulshan
tujh se banā hai pyārā gulshan
bhīnī bhīnī terī nik.hat
pyārī pyārī terī rangat
jangal meñ hai tujh se mañgal
jalsoñ meñ hai tujh se halchal
nāzish gulshan terī hastī
tujh se hai bulbul kī mastī
terā dam bhartī hai bulbul
tere liye hai phirtī martī
tere liye hī ban se aa.ī
baaġh meñ apnī bastī basā.ī
tere liye hī baaġh meñ chahkī
tere liye hī bhaTkī bahkī
bād-e-sahar ke jhoñke se tū
khil kar phailā detā hai bū
jis dam phailī terī ḳhushbū
dauḌ ga.ī gulshan se har sū
shāḳh meñ kaisā phuul rahā hai
kitnī ḳhushī se jhuul rahā hai
mast huī hai saarī ḳhilqat
phailī hai terī jo nik.hat
rang hai terā kaisā pyārā
shaad huā har ġham kā maarā
dekhte hī har ġhamgīñ tujh ko
bhūlā apne dard aur dukh ko
duniyā bhar kā tū hai chahītā
shak nahīñ is meñ koī aslan
tujh se mahkī saarī zamīñ hai
lekin tujh ko naaz nahīñ hai
tujh ko chāhe saarī duniyā
terī hai har dil meñ tamannā
phuul sikhātā hai ye 'jauhar'
ḳhush raho tum bhī yuuñ hī din bhar
tum bhī ḳhush har ek ko rakkho
maza mohabbat kā bhī chakkho
tujh se mahka sara gulshan
tujh se bana hai pyara gulshan
bhini bhini teri nikhat
pyari pyari teri rangat
jangal mein hai tujh se mangal
jalson mein hai tujh se halchal
nazish gulshan teri hasti
tujh se hai bulbul ki masti
tera dam bharti hai bulbul
tere liye hai phirti marti
tere liye hi ban se aai
bagh mein apni basti basai
tere liye hi bagh mein chahki
tere liye hi bhaTki bahki
baad-e-sahar ke jhonke se tu
khil kar phaila deta hai bu
jis dam phaili teri KHushbu
dauD gai gulshan se har su
shaKH mein kaisa phul raha hai
kitni KHushi se jhul raha hai
mast hui hai sari KHilqat
phaili hai teri jo nikhat
rang hai tera kaisa pyara
shad hua har gham ka mara
dekhte hi har ghamgin tujh ko
bhula apne dard aur dukh ko
duniya bhar ka tu hai chahita
shak nahin is mein koi aslan
tujh se mahki sari zamin hai
lekin tujh ko naz nahin hai
tujh ko chahe sari duniya
teri hai har dil mein tamanna
phul sikhata hai ye 'jauhar'
KHush raho tum bhi yun hi din bhar
tum bhi KHush har ek ko rakkho
maza mohabbat ka bhi chakkho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.