phul
ek phuul sajā.ūñgā
tumhāre bāloñ meñ
apne haath se
khilā rahegā ye phuul
jab tak rahegī
dhuup tumhārī
aur sūraj kī
hameñ us kī ḳhushbū se kyā
rañg hī baaqī rah jaa.e to bahut hai
agar rahā ye phuul
bahut der tak
to koshish karūñgā
tumheñ bulāne kī
vahīñ par
jahāñ tumhāre jaane ke ba.ad
ye phuul khilā hai
ek phul sajaunga
tumhaare baalon mein
apne hath se
khila rahega ye phul
jab tak rahegi
dhup tumhaari
aur suraj ki
hamein us ki KHushbu se kya
rang hi baqi rah jae to bahut hai
agar raha ye phul
bahut der tak
to koshish karunga
tumhein bulane ki
wahin par
jahan tumhaare jaane ke baad
ye phul khila hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 183)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.