phulon ki ghazal
ḳhushnumā hai hayāt phūloñ kī
dekhnā kā.enāt phūloñ kī
juuhī champā chamelī aur gulāb
naam bachchoñ ke zaat phūloñ kī
titliyoñ kī tarah sajal nāzuk
un kī har baat baat phūloñ kī
ye nahīñ jānte ki ġham kyā hai
din hai phūloñ kā raat phūloñ kī
vo jo paḌhte haiñ aur likhte haiñ
aur karte haiñ baat phūloñ kī
lahlahātā chaman hujūm-e-bahār
muskurātī hai zaat phūloñ kī
ilm kī raushnī ke diip jaleñ
mahkī mahkī hai raat phūloñ kī
nazr-e-‘maḳhdūm’ hai ġhazal bachcho
shaḳhsiyat thī hayāt phūloñ kī
phuul kī tarah madrasoñ meñ 'vaqār'
saj rahī hai barāt phūloñ kī
KHushnuma hai hayat phulon ki
dekhna kaenat phulon ki
juhi champa chameli aur gulab
nam bachchon ke zat phulon ki
titliyon ki tarah sajal nazuk
un ki har baat baat phulon ki
ye nahin jaante ki gham kya hai
din hai phulon ka raat phulon ki
wo jo paDhte hain aur likhte hain
aur karte hain baat phulon ki
lahlahata chaman hujum-e-bahaar
muskuraati hai zat phulon ki
ilm ki raushni ke dip jalen
mahki mahki hai raat phulon ki
nazr-e-‘maKHdum’ hai ghazal bachcho
shaKHsiyat thi hayat phulon ki
phul ki tarah madrason mein 'waqar'
saj rahi hai baraat phulon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.