phulon se saja ek sej dikha
chamkīlā sā bhaḌkīla sā
atrāf meñ jis ke jantā thī
stage pe kuchh sajan the khaḌe
kuchh jhanDe the kuchh na.are the
kuchh lambī lambī bāteñ thiiñ
kuchh bhārī bhārī va.ade the
un bātoñ kā un va.adoñ kā
bas ham se itnā rishta hai
ke vote unheñ ham deñ deñ sab
sarkār unhīñ kī chun leñ ham
raaj unhīñ kā chalne deñ
har samt unhīñ kā jhanDā ho
adhikār unhīñ kā chaltā ho
jab jantā un ko chuntī hai
aur un ke haq meñ laḌtī hai
tab rāshtra un kā badlā hai
un lambī lambī bātoñ kā
un bhārī bhārī va.adoñ kā
unvān huā kuchh aise hai
e.v.m bhī merā hai
sab netā nagrī merī hai
ab koī nahīñ kuchh bolegā
aur koī nahīñ muñh kholegā
chamkila sa bhaDkila sa
atraf mein jis ke janta thi
stage pe kuchh sajan the khaDe
kuchh jhanDe the kuchh nare the
kuchh lambi lambi baaten thin
kuchh bhaari bhaari wade the
un baaton ka un wadon ka
bas hum se itna rishta hai
ke wote unhen hum den den sab
sarkar unhin ki chun len hum
raj unhin ka chalne den
har samt unhin ka jhanDa ho
adhikar unhin ka chalta ho
jab janta un ko chunti hai
aur un ke haq mein laDti hai
tab rashtra un ka badla hai
un lambi lambi baaton ka
un bhaari bhaari wadon ka
unwan hua kuchh aise hai
ewm bhi mera hai
sab neta nagri meri hai
ab koi nahin kuchh bolega
aur koi nahin munh kholega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.