phuwar
ham ne umr ke itne saal
guzāre apne saath
ḳhush be-raunaq afsurda
hairāñ nārāz ajiib
lekin tere saath
guzarne vaalā ye pal
ek mukammal lamha hai
jis meñ mahsūsāt ke
in saare rangoñ kī bārish
ek hī phuvār meñ
ham par baras ga.ī hai
hum ne umr ke itne sal
guzare apne sath
KHush be-raunaq afsurda
hairan naraaz ajib
lekin tere sath
guzarne wala ye pal
ek mukammal lamha hai
jis mein mahsusat ke
in sare rangon ki barish
ek hi phuwar mein
hum par baras gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.