pichhle bis barson mein
Interesting Fact
(20-04-2015)
apne apne kāmoñ se
vaqt jo bhī bachtā thā
saath ham batāte the
jo samay guzarte the
un kī jag kahānī bhī
ek dūsre ko ham
shauq se sunāte the
lauT kar maiñ office se
jis ghaḌī thakā-hārā
apne ghar meñ aatā thā
sab takān din-bhar kī
apne dar kī chaukhaT se
duur chhoḌ aatā thā
yaad hai mujhe ab tak
din vo talḳh maazī kā
boss apne ghar se jab
piT-piTā ke aa.e the
taaza taaza chehre par
har taraf kharoñche thiiñ
kaT-khanī sī billī ne
shāyad apne panjoñ se
donoñ gaal noche the
naukrī to karnā thī
chākarī bhī karnā thī
so janāb-e-vālā ne
roz kī tarah pahle
haal boss kā apne
phone par hī pūchhā thā
aur phir receiver se
phone ke cradle ko
bebasī se piiTā thā
āñ-janāb ne us din
jis qadar bhī ġhussa thā
mujh pe hī utārā thā
merā jaisā bad-qismat
jab bhī sāmne aayā
DaañT kar bhagāyā thā
maiñ bhī kam na thā un se
apnī desk par jā kar
filoñ ko de paTḳhā
aur apne jaisoñ par
be-qusūr hī barsā
ye kathā mirī biivī
sun ke khilkhilā uThī
aur apnī din biitī
ḳhud hī phir shurūa kar dī
aaj merī maasī ne
phir gilās shīshe kā
chaknā-chūr kar Daalā
sirf ye nahīñ balki
kapḌe dhone vaalī ne
silk kā vo dupaTTa
kal hī jo ḳharīdā thā
bor bor kar Daalā
maiñ ne bhī lagī-lipTī
kuchh bachā nahīñ rakkhī
jis qadar thiiñ salvāteñ
be-nuqat sunā Dālīñ
apnī apnī din-bītī
donoñ jab bhī kah chukte
qahqahe lagāte the
yuuñ ham apnī ġhurbat kī
ḳhud hañsī uḌāte the
vo sukūñ jo ġhurbat ke
un dinoñ meñ hāsil thā
vo sukūñ nahīñ miltā
vo jo ghar kabhī jis meñ
dil hamārā lagtā thā
us meñ dil nahīñ lagtā
roz-o-shab kī gardish ne
sab hī kuchh badal Daalā
aur jo nahīñ badlā
pichhle biis barsoñ meñ
ik vahī mirā office
log ab bhī taqrīban
saath meñ vahī sab haiñ
farq hai to bas itnā
boss kī maiñ kursī par
boss ban ke baiThā huuñ
mere apne chehre par
har taraf kharoñche haiñ
saaf aisā lagtā hai
kaT-khanī sī billī ne
jaise gaal noche haiñ
apne apne kaamon se
waqt jo bhi bachta tha
sath hum batate the
jo samay guzarte the
un ki jag kahani bhi
ek dusre ko hum
shauq se sunate the
lauT kar main office se
jis ghaDi thaka-haara
apne ghar mein aata tha
sab takan din-bhar ki
apne dar ki chaukhaT se
dur chhoD aata tha
yaad hai mujhe ab tak
din wo talKH mazi ka
boss apne ghar se jab
piT-piTa ke aae the
taza taza chehre par
har taraf kharonche thin
kaT-khani si billi ne
shayad apne panjon se
donon gal noche the
naukri to karna thi
chaakari bhi karna thi
so janab-e-wala ne
roz ki tarah pahle
haal boss ka apne
phone par hi puchha tha
aur phir receiwer se
phone ke cradle ko
bebasi se piTa tha
aan-janab ne us din
jis qadar bhi ghussa tha
mujh pe hi utara tha
mera jaisa bad-qismat
jab bhi samne aaya
DanT kar bhagaya tha
main bhi kam na tha un se
apni desk par ja kar
filon ko de paTKHa
aur apne jaison par
be-qusur hi barsa
ye katha meri biwi
sun ke khilkhila uThi
aur apni din biti
KHud hi phir shurua kar di
aaj meri masi ne
phir gilas shishe ka
chakna-chur kar Dala
sirf ye nahin balki
kapDe dhone wali ne
silk ka wo dupaTTa
kal hi jo KHarida tha
bor bor kar Dala
main ne bhi lagi-lipTi
kuchh bacha nahin rakkhi
jis qadar thin salwaten
be-nuqat suna Dalin
apni apni din-biti
donon jab bhi kah chukte
qahqahe lagate the
yun hum apni ghurbat ki
KHud hansi uDate the
wo sukun jo ghurbat ke
un dinon mein hasil tha
wo sukun nahin milta
wo jo ghar kabhi jis mein
dil hamara lagta tha
us mein dil nahin lagta
roz-o-shab ki gardish ne
sab hi kuchh badal Dala
aur jo nahin badla
pichhle bis barson mein
ek wahi mera office
log ab bhi taqriban
sath mein wahi sab hain
farq hai to bas itna
boss ki main kursi par
boss ban ke baiTha hun
mere apne chehre par
har taraf kharonche hain
saf aisa lagta hai
kaT-khani si billi ne
jaise gal noche hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.