pichhle-pahar ke sannaTe mein
pichhle pahr ke sannāTe meñ
kis kī siskī kis kā naala
kamre kī ḳhāmosh fazā meñ dar aayā hai
zor havā kā TuuT chukā hai
khule darīche kī jaalī se
nannhī nannhī būñdeñ chhan kar
sab konoñ meñ phail ga.ī haiñ
aur mire ashkoñ se
un ke haath kā takiya bhiig gayā hai
kitnī zālim
kitnī gahrī tārīkī hai
khulā darīcha thar-thar-thar-thar kaañp rahā hai
bhīgī miTTī sauñdhī ḳhushbū chhoḌ rahī hai
uude bādal
kaale ambar kī jhīloñ meñ Duub ga.e haiñ
kis ke ruḳhsāroñ kī larzish dekh rahā huuñ
kis kī zulfoñ kī shiknoñ se khel rahā huuñ
chupke chupke leTe leTe soch rahā huuñ
pichhle pahr kā sannāTā hai
kis kī siskī kis kā naala
kamre kī ḳhāmosh fazā meñ dar aayā hai
ghane daraḳhtoñ meñ purvā kī siiTī gūñjī
do dikshoñ meñ qaidī rūheñ chīḳh rahī haiñ
konoñ meñ dubke hue jhīñgar chillāte haiñ
mehrāboñ se bhūtoñ ke sar Takrāte haiñ
qil.e ke ik burj ke andar
ek parī (shīlāT kī rānī)
ḳhandaq ke an-dekhe paanī kī gahrā.ī
andeshe ke bālishtoñ se maap rahī hai
maazī kī DevḌhī kī chilman
khule darīche kī jaalī se
chhan chhan aa.eñ
ruup kī jot hinā kī laalī kal kī yādeñ
sauñdhī ḳhushbū ThanDī būñdeñ
kal ke baasī aañsū jin se
fardā ke bālīñ kā pardā bhiig rahā hai
sehr-zada mahbūs hasīna
sapnoñ ke shīlāT kī raanī
ā.īnoñ meñ husn-e-shikasta dekh rahī hai
kitne chehre TuuTe TuuTe
pahchāne an-pahchāne se
aage pīchhe aage pīchhe bhaag rahe haiñ
qil.e ke aaseb kī sūrat kis kī siskī kis kā naala
kamre kī ḳhāmosh fazā meñ dar aayā hai
bichhḌe logo piyāre logo
chāheñ bhī to naam tumhāre jaan sakeñge?
kaise māneñ tum ko hamāre
jī lene kī mar lene kī
ḳhushī huī afsos huā hai
tum kyā jaano
kis ke haath kā takiya
kis ke garm ashkoñ se bhiig rahā hai
khule darīche kī jaalī se chimTī āñkho
ik lamhe ke kauñde meñ tum
kin kin ajnabī chīzoñ ko pahchān sakogī
jīvan-khel meñ haare logo
bichhḌe logo piyāre logo
barkhā kī lambī rātoñ meñ
kamre kī ḳhāmosh fazā meñ
pichhle pahr ke sannāTe meñ
rote rote jāgne vaale
ham logoñ ko so lene do
aur saverā ho lene do
pichhle pahr ke sannaTe mein
kis ki siski kis ka nala
kamre ki KHamosh faza mein dar aaya hai
zor hawa ka TuT chuka hai
khule dariche ki jali se
nannhi nannhi bunden chhan kar
sab konon mein phail gai hain
aur mere ashkon se
un ke hath ka takiya bhig gaya hai
kitni zalim
kitni gahri tariki hai
khula daricha thar-thar-thar-thar kanp raha hai
bhigi miTTi saundhi KHushbu chhoD rahi hai
ude baadal
kale ambar ki jhilon mein Dub gae hain
kis ke ruKHsaron ki larzish dekh raha hun
kis ki zulfon ki shiknon se khel raha hun
chupke chupke leTe leTe soch raha hun
pichhle pahr ka sannaTa hai
kis ki siski kis ka nala
kamre ki KHamosh faza mein dar aaya hai
ghane daraKHton mein purwa ki siTi gunji
do dikshon mein qaidi ruhen chiKH rahi hain
konon mein dubke hue jhingar chillate hain
mehrabon se bhuton ke sar Takraate hain
qile ke ek burj ke andar
ek pari (shilaT ki rani)
KHandaq ke an-dekhe pani ki gahrai
andeshe ke baalishton se map rahi hai
mazi ki DewDhi ki chilman
khule dariche ki jali se
chhan chhan aaen
rup ki jot hina ki lali kal ki yaaden
saundhi KHushbu ThanDi bunden
kal ke basi aansu jin se
farda ke baalin ka parda bhig raha hai
sehr-zada mahbus hasina
sapnon ke shilaT ki rani
aainon mein husn-e-shikasta dekh rahi hai
kitne chehre TuTe TuTe
pahchane an-pahchane se
aage pichhe aage pichhe bhag rahe hain
qile ke aaseb ki surat kis ki siski kis ka nala
kamre ki KHamosh faza mein dar aaya hai
bichhDe logo piyare logo
chahen bhi to nam tumhaare jaan sakenge?
kaise manen tum ko hamare
ji lene ki mar lene ki
KHushi hui afsos hua hai
tum kya jaano
kis ke hath ka takiya
kis ke garm ashkon se bhig raha hai
khule dariche ki jali se chimTi aankho
ek lamhe ke kaunde mein tum
kin kin ajnabi chizon ko pahchan sakogi
jiwan-khel mein haare logo
bichhDe logo piyare logo
barkha ki lambi raaton mein
kamre ki KHamosh faza mein
pichhle pahr ke sannaTe mein
rote rote jagne wale
hum logon ko so lene do
aur sawera ho lene do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.