pighalta dhuan
duur shādāb pahāḌī pe banā ik bañgla
laal khaprailoñ pe phailī huī añgūr kī bel
sehn meñ bikhre hue miTTī ke rājā-rānī
muñh chiḌātī huī bachchoñ ko koī dīvānī
seb ke ujle daraḳhtoñ kī ghanī chhāñv meñ
paañv Daale hue tālāb meñ koī laḌkī
gore hāthoñ meñ sambhāle hue takiye kā ġhilāf
an-kahī bātoñ ko dhāgoñ meñ siye jaatī hai
dil ke jazbāt kā iz.hār kiye jaatī hai
garm chūlhe ke qarīñ baiThī huī ik aurat
ek paivand lagī saaḌī se tan ko Dhāñpe
dhundlī āñkhoñ se mirī samt take jaatī hai
mujh ko āvāz pe āvāz diye jaatī hai
ik sulagtī huī cigarette kā bal khātā dhuāñ
phailtā jaatā hai har samt mire kamre meñ
dur shadab pahaDi pe bana ek bangla
lal khaprailon pe phaili hui angur ki bel
sehn mein bikhre hue miTTi ke raja-rani
munh chiDati hui bachchon ko koi diwani
seb ke ujle daraKHton ki ghani chhanw mein
panw Dale hue talab mein koi laDki
gore hathon mein sambhaale hue takiye ka ghilaf
an-kahi baaton ko dhagon mein siye jati hai
dil ke jazbaat ka izhaar kiye jati hai
garm chulhe ke qarin baiThi hui ek aurat
ek paiwand lagi saDi se tan ko Dhanpe
dhundli aankhon se meri samt take jati hai
mujh ko aawaz pe aawaz diye jati hai
ek sulagti hui cigarette ka bal khata dhuan
phailta jata hai har samt mere kamre mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.