pipal
ik pīpal ke nīche maiñ ne apnī khaaT bichhā.ī
leT gayā maiñ khaaT pe lekin niiñd na mujh ko aa.ī
aaheñ bharte karvaTeñ lete saarī umr gañvā.ī
pīpal ke pattoñ ko ginte karte un par ġhaur
pīpal kī shāḳhoñ ko takte biit gayā ik daur
pīpal kī har chiiz purānī albelā har taur
chale havā to Daalī Daalī lachak lachak bal khaa.e
ruke havā to sādhū ban kar dhyān kā diip jalā.e
jhakkaḌ ke har vaar pe Dole chīḳh chīḳh rah jaa.e
pīpal kī shāḳhoñ par baiThe kuchh panchhī sustā.eñ
bāhar se kuchh aane vaale ik kohrām machā.eñ
gaa.eñ giit anokhe mil kar nācheñ aur nachā.eñ
pīpal kyā hai jogī kā be-darsā ik asthān
jhoñke patte panchhī insāñ sab is ke mehmān
khaaT pe lipTā soch rahā huuñ maiñ mūrakh nādān
ek pipal ke niche main ne apni khaT bichhai
leT gaya main khaT pe lekin nind na mujh ko aai
aahen bharte karwaTen lete sari umr ganwai
pipal ke patton ko ginte karte un par ghaur
pipal ki shaKHon ko takte bit gaya ek daur
pipal ki har chiz purani albela har taur
chale hawa to Dali Dali lachak lachak bal khae
ruke hawa to sadhu ban kar dhyan ka dip jalae
jhakkaD ke har war pe Dole chiKH chiKH rah jae
pipal ki shaKHon par baiThe kuchh panchhi sustaen
bahar se kuchh aane wale ek kohram machaen
gaen git anokhe mil kar nachen aur nachaen
pipal kya hai jogi ka be-darsa ek asthan
jhonke patte panchhi insan sab is ke mehman
khaT pe lipTa soch raha hun main murakh nadan
- Book : Wazeer Aagha Ki Nazmen (Pg. 134)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.