pir-e-tasma-e-pa
mere kāñdhe pe baiThā koī
paḌhtā rahtā hai injīl o qur.ān o ved
makkhiyāñ kaan meñ bhinbhinātī haiñ
zaḳhmī haiñ kaan
apnī āvāz kaise sunūñ
raanā hindū thā akbar musalmān thā
sanjai vo pahlā insān thā
hastināpur meñ jis ne qabl-e-masīh
television banāyā
aur ghar baiThe ik andhe raaja ko
yudh kā tamāsha dikhāyā
aadmī chāñd par aaj utrā to kyā
ye taraqqī nahīñ
ab se pahle, bahut pahle
jab zarra TuuTā na thā
chashma jauhar kā phūTā na thā
farsh se arsh tak jā chukā hai koī
ye aur aisī bahut sī jahālat kī bāteñ
mere kāñdhe pe hotī haiñ
kāñdhe jhuke jā rahe haiñ
qad mirā raat din ghaT rahā hai
sar kahīñ paañv se mil na jaa.e
mere kandhe pe baiTha koi
paDhta rahta hai injil o quran o wed
makkhiyan kan mein bhinbhinati hain
zaKHmi hain kan
apni aawaz kaise sunun
rana hindu tha akbar musalman tha
sanjai wo pahla insan tha
hastinapur mein jis ne qabl-e-masih
telewision banaya
aur ghar baiThe ek andhe raja ko
yudh ka tamasha dikhaya
aadmi chand par aaj utra to kya
ye taraqqi nahin
ab se pahle, bahut pahle
jab zarra TuTa na tha
chashma jauhar ka phuTa na tha
farsh se arsh tak ja chuka hai koi
ye aur aisi bahut si jahaalat ki baaten
mere kandhe pe hoti hain
kandhe jhuke ja rahe hain
qad mera raat din ghaT raha hai
sar kahin panw se mil na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.