pin-kishan
mire pin-cushion meñ bahut sī pineñ haiñ
aur aksar पिनें is meñ aisī haiñ jo duur anjāne mulkoñ
se aa.e ḳhatoñ se nikālī ga.ī haiñ
ye us vaqt zāhir haqīqat kī sūrat mire pin-cushion
meñ lagī haiñ
agar pin-cushion kī har ik pin ye soche
ki maiñ to fulāñ desh kī huuñ
fulāñ desh ne merā lohā janā thā
fulāñ desh ne merī sūrat gaḌhī thī
to ye sochnā pin-cushion kī haqīqat ko ḳhatre meñ Daale na Daale
pinoñ ko yaqīnan jaḌoñ se hilā degā
aur phir ye saarī pineñ
be-sakat
be-jahat
be-hadaf
yūñhī rultī phireñgī
mere pin-cushion mein bahut si pinen hain
aur aksar पिनें is mein aisi hain jo dur anjaane mulkon
se aae KHaton se nikali gai hain
ye us waqt zahir haqiqat ki surat mere pin-cushion
mein lagi hain
agar pin-cushion ki har ek pin ye soche
ki main to fulan desh ki hun
fulan desh ne mera loha jana tha
fulan desh ne meri surat gaDhi thi
to ye sochna pin-cushion ki haqiqat ko KHatre mein Dale na Dale
pinon ko yaqinan jaDon se hila dega
aur phir ye sari pinen
be-sakat
be-jahat
be-hadaf
yunhi rulti phirengi
- Book : AURAAQ (Pg. 40)
- Author : Wazir Agha, Sajjad Naqvi
- Publication : Auraaq Chauk, Urdu Bazar, Lahore (April, May 1982)
- Edition : April, May 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.