piye ja
sharāb-ḳhāna hai bazm-e-hastī
har ek hai mahv-e-aish-o-mastī
ma.āl-bīnī o mai-parastī
are ye zillat are ye pastī
shi.ār-e-rindāna kar piye jā
agar koī tujh ko Toktā hai
sharāb piine se roktā hai
samajh ise hosh meñ nahīñ hai
ḳhirad ke āġhosh meñ nahīñ hai
tū is se jhagḌā na kar piye jā
ḳhayāl-e-roz-e-hisāb kaisā
savāb kaisā azaab kaisā
bahisht o dozaḳh ke ye fasāne
ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
fuzūl sochā na kar piye jā
nahīñ jahāñ meñ mudām rahnā
to kis liye tishna-kām rahnā
uThā uThā haañ uThā subū ko
tamām duniyā kī haao hū ko
ġharīq-e-paimāna kar piye jā
kisī se takrār kyā zarūrat
fuzūl isrār kyā zarūrat
koī piye to use pilā de
agar na maane to muskurā de
malāl-e-aslā na kar piye jā
tujhe samajhte haiñ ahl-e-duniyā
ḳharāb ḳhasta zalīl rusvā
nahīñ ayaañ un pe haal terā
koī nahīñ ham-ḳhayāl terā
kisī kī parvā na kar piye jā
ye tujh par āvāze kasne vaale
tamām haiñ mere dekhe bhāle
nahīñ mazāq un ko mai-kashī kā
ye ḳhuun piite haiñ aadmī kā
tū un kā shikvā na kar piye jā
sharab-KHana hai bazm-e-hasti
har ek hai mahw-e-aish-o-masti
maal-bini o mai-parasti
are ye zillat are ye pasti
shiar-e-rindana kar piye ja
agar koi tujh ko Tokta hai
sharab pine se rokta hai
samajh ise hosh mein nahin hai
KHirad ke aaghosh mein nahin hai
tu is se jhagDa na kar piye ja
KHayal-e-roz-e-hisab kaisa
sawab kaisa azab kaisa
bahisht o dozaKH ke ye fasane
KHuda ki baaten KHuda hi jaane
fuzul socha na kar piye ja
nahin jahan mein mudam rahna
to kis liye tishna-kaam rahna
uTha uTha han uTha subu ko
tamam duniya ki hao hu ko
ghariq-e-paimana kar piye ja
kisi se takrar kya zarurat
fuzul israr kya zarurat
koi piye to use pila de
agar na mane to muskura de
malal-e-asla na kar piye ja
tujhe samajhte hain ahl-e-duniya
KHarab KHasta zalil ruswa
nahin ayan un pe haal tera
koi nahin ham-KHayal tera
kisi ki parwa na kar piye ja
ye tujh par aawaze kasne wale
tamam hain mere dekhe bhaale
nahin mazaq un ko mai-kashi ka
ye KHun pite hain aadmi ka
tu un ka shikwa na kar piye ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.