pluto
mire pyāre bachche
baḌā zulm tum par huā hai
ba-yak jumbish-e-sar tumheñ apnī masnad se ma.azūl honā paḌā hai
samajh meñ nahīñ aatā aisī ḳhatā kyā huī tum se
maanā ki tum apne bhā.iyoñ se Thagne the
yā phir tumhārā Thikānā muqarrar nahīñ thā
tum apnī hadoñ se bhaTak kar kisī aur ke dā.ere meñ
dar-andāz hote the
maiñ jāntā huuñ tumhāre badan par se andoh kā sail guzrā hai
lekin mirī baat kā tum burā mat manānā
agar maiñ kahūñ ye ki tum pahle hī din se is masnad-e-āliya ke taqaddus
ke laa.eq nahīñ the
so jitne baras tum ne is svāñg meñ karr-o-far se guzāre haiñ
un par qanā.at karo
aur zamīñ ke kisī dūr-uftāda goshe meñ
maktab ko jaate hue ek bachche kī āñkhoñ se
ye baat sun kar
agar ek aañsū girā hai
use saiñt kar tāqche meñ sajā lo
ḳhalāoñ ke yaḳh-basta be-nūr pātāl meñ ye sitāra tumhārā sahārā banegā
mere pyare bachche
baDa zulm tum par hua hai
ba-yak jumbish-e-sar tumhein apni masnad se mazul hona paDa hai
samajh mein nahin aata aisi KHata kya hui tum se
mana ki tum apne bhaiyon se Thagne the
ya phir tumhaara Thikana muqarrar nahin tha
tum apni hadon se bhaTak kar kisi aur ke daere mein
dar-andaz hote the
main jaanta hun tumhaare badan par se andoh ka sail guzra hai
lekin meri baat ka tum bura mat manana
agar main kahun ye ki tum pahle hi din se is masnad-e-aliya ke taqaddus
ke laeq nahin the
so jitne baras tum ne is swang mein karr-o-far se guzare hain
un par qanaat karo
aur zamin ke kisi dur-uftada goshe mein
maktab ko jate hue ek bachche ki aankhon se
ye baat sun kar
agar ek aansu gira hai
use saint kar taqche mein saja lo
KHalaon ke yaKH-basta be-nur patal mein ye sitara tumhaara sahaara banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.