Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek makDa aur makkhi

Allama Iqbal

ek makDa aur makkhi

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    بانگ درا

    ik din kisī makkhī se ye kahne lagā makḌā

    is raah se hotā hai guzar roz tumhārā

    lekin mirī kuTiyā na jaagī kabhī qismat

    bhūle se kabhī tum ne yahāñ paañv na rakkhā

    ġhairoñ se na miliye to koī baat nahīñ hai

    apnoñ se magar chāhiye yuuñ khiñch ke na rahnā

    aao jo mire ghar meñ to izzat hai ye merī

    vo sāmne sīḌhī hai jo manzūr ho aanā

    makkhī ne sunī baat jo makḌe to bolī

    hazrat kisī nādān ko dījegā ye dhokā

    is jaal meñ makkhī kabhī aane nahīñ hai

    jo aap sīḌhī pe chaḌhā phir nahīñ utrā

    makḌe ne kahā vaah farebī mujhe samjhe

    tum koī nādān zamāne meñ na hogā

    manzūr tumhārī mujhe ḳhātir thī vagarna

    kuchh fā.eda apnā to mirā is meñ nahīñ thā

    uḌtī huī aa.ī ho ḳhudā jaane kahāñ se

    Thahro jo mire ghar meñ to hai is meñ burā kyā

    is ghar meñ ka.ī tum ko dikhāne haiñ chīzeñ

    bāhar se nazar aatā hai chhoTī ye kuTiyā

    laTke hue darvāzoñ pe bārīk haiñ parde

    dīvāroñ ko ā.īnoñ se hai maiñ ne sajāyā

    mehmānoñ ke ārām ko hāzir haiñ bichhaune

    har shaḳhs ko sāmāñ ye mayassar nahīñ hotā

    makkhī ne kahā ḳhair ye sab Thiik hai lekin

    maiñ aap ke ghar aa.uuñ ye ummīd na rakhnā

    in narm bichhaunoñ se ḳhudā mujh ko bachā.e

    so jaa.e koī in pe to phir uTh nahīñ saktā

    makḌe ne kahā dil meñ sunī baat jo us

    phāñsūñ ise kis tarah ye kam-baḳht hai daanā

    sau kaam ḳhushāmad se nikalte haiñ jahāñ meñ

    dekho jise duniyā meñ ḳhushāmad hai bandā

    ye soch ke makkhī se kahā us ne baḌī b

    allāh ne baḳhshā hai baḌā aap ko rutba

    hotī hai use aap sūrat se mohabbat

    ho jis ne kabhī ek nazar aap ko dekhā

    āñkheñ haiñ ki hiire chamaktī huī kaniyāñ

    sar aap allāh ne kalġhī se sajāyā

    ye husn ye poshāk ye ḳhūbī ye safā.ī

    phir us pe qayāmat hai ye uḌte hue gaanā

    makkhī ne sunī jab ye ḳhushāmad to pasījī

    bolī ki nahīñ aap se mujh ko koī khaTkā

    inkār aadat ko samajhtī huuñ burā maiñ

    sach ye hai ki dil toḌnā achchhā nahīñ hotā

    ye baat kahī aur uḌī apnī jagah se

    paas aa.ī to makḌe ne uchhal kar use pakḌā

    bhūkā thā ka.ī roz se ab haath jo aa.ī

    ārām se ghar baiTh ke makkhī ko uḌāyā

    ek din kisi makkhi se ye kahne laga makDa

    is rah se hota hai guzar roz tumhaara

    lekin meri kuTiya ki na jagi kabhi qismat

    bhule se kabhi tum ne yahan panw na rakkha

    ghairon se na miliye to koi baat nahin hai

    apnon se magar chahiye yun khinch ke na rahna

    aao jo mere ghar mein to izzat hai ye meri

    wo samne siDhi hai jo manzur ho aana

    makkhi ne suni baat jo makDe ki to boli

    hazrat kisi nadan ko dijega ye dhoka

    is jal mein makkhi kabhi aane ki nahin hai

    jo aap ki siDhi pe chaDha phir nahin utra

    makDe ne kaha wah farebi mujhe samjhe

    tum sa koi nadan zamane mein na hoga

    manzur tumhaari mujhe KHatir thi wagarna

    kuchh faeda apna to mera is mein nahin tha

    uDti hui aai ho KHuda jaane kahan se

    Thahro jo mere ghar mein to hai is mein bura kya

    is ghar mein kai tum ko dikhane ki hain chizen

    bahar se nazar aata hai chhoTi si ye kuTiya

    laTke hue darwazon pe barik hain parde

    diwaron ko aainon se hai main ne sajaya

    mehmanon ke aaram ko hazir hain bichhaune

    har shaKHs ko saman ye mayassar nahin hota

    makkhi ne kaha KHair ye sab Thik hai lekin

    main aap ke ghar aaun ye ummid na rakhna

    in narm bichhaunon se KHuda mujh ko bachae

    so jae koi in pe to phir uTh nahin sakta

    makDe ne kaha dil mein suni baat jo us ki

    phansun ise kis tarah ye kam-baKHt hai dana

    sau kaam KHushamad se nikalte hain jahan mein

    dekho jise duniya mein KHushamad ka hai banda

    ye soch ke makkhi se kaha us ne baDi b

    allah ne baKHsha hai baDa aap ko rutba

    hoti hai use aap ki surat se mohabbat

    ho jis ne kabhi ek nazar aap ko dekha

    aankhen hain ki hire ki chamakti hui kaniyan

    sar aap ka allah ne kalghi se sajaya

    ye husn ye poshak ye KHubi ye safai

    phir us pe qayamat hai ye uDte hue gana

    makkhi ne suni jab ye KHushamad to pasiji

    boli ki nahin aap se mujh ko koi khaTka

    inkar ki aadat ko samajhti hun bura main

    sach ye hai ki dil toDna achchha nahin hota

    ye baat kahi aur uDi apni jagah se

    pas aai to makDe ne uchhal kar use pakDa

    bhuka tha kai roz se ab hath jo aai

    aaram se ghar baiTh ke makkhi ko uDaya

    Source :
    • Book : کلیات اقبال (Pg. 29)
    • Author : علامہ اقبال
    • Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now