bachchon ke liye git
ik chiḌiyā ke bachche chaar
ghar se nikle pankh pasār
chiiñ chiiñ karte pankh hilāte
choñch khol kar bhuuk jatāte
chiḌiyā un kī ḳhātir kartī
daana un kī choñch meñ bhartī
jab bhī uupar jaatī uḌ kar
bachchoñ se kuchh kahtī muḌ kar
vo bhī aate us ke paas
yuuñ hotā rahtā abhyās
do ik din jab yuuñ hī biite
aur bachche ḳhud khāte piite
jab Dar un kā gayā nikal
aur pankhoñ meñ aa gayā bal
chiḌiyā bolī ab tum jaao
apnā jīvan aap bitāo
ek chiDiya ke bachche chaar
ghar se nikle pankh pasar
chin chin karte pankh hilate
chonch khol kar bhuk jatate
chiDiya un ki KHatir karti
dana un ki chonch mein bharti
jab bhi upar jati uD kar
bachchon se kuchh kahti muD kar
wo bhi aate us ke pas
yun hota rahta abhyas
do ek din jab yun hi bite
aur bachche KHud khate pite
jab Dar un ka gaya nikal
aur pankhon mein aa gaya bal
chiDiya boli ab tum jao
apna jiwan aap bitao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.