Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bachchon ki qawwali

Shaukat Pardesi

bachchon ki qawwali

Shaukat Pardesi

MORE BYShaukat Pardesi

    Interesting Fact

    This poem was first published in August 1959 in "Khilauna" and for the second time in November 1981 in "Payam-e-Taleem".

    halve ke liye phir aaj bhī ham ik aas lagā.e baiThe haiñ

    jo baat zabāñ par na sake vo dil meñ chhupā.e baiThe haiñ

    thoḌī miThā.ī taaq pe thī muTThī meñ churā.e baiThe haiñ

    abbū ke bhagā.e bhāge the ammī ke bulā.e baiThe haiñ

    kuchh bach bhī ga.ī haiñ piTne se kuchh maar bhī khaa.e baiThe haiñ

    tujh se to hameñ koī shikva ai ḳhāliq-e-sub.h-o-shām nahīñ

    schōl aisā hai ki jahāñ kuchh chain nahīñ ārām nahīñ

    is vaqt agarche sar meñ kisī ke dard barā.e naam nahīñ

    har vaqt magar paḌhte rahnā kam-umroñ to kaam nahīñ

    sab apnī apnī kursī par sudh-budh bisrā.e baiThe haiñ

    ik baar kahīñ se mil jaatā ham sab ko charāġh-e-chain agar

    bas saal meñ ik din paḌh lete darje kitābeñ far far far

    phir ḳhvāb dilchaspī rahtī phir ḳhuub maza aatā din bhar

    schōl meñ jaanā kyuuñ hotā har roz ye rahtā kyuuñ chakkar

    ummīd nahīñ lekin phir bhī ummīd lagā.e baiThe haiñ

    lekin ye zamāna ilm hai ye vaqt hai aage baḌhne

    mil-jul ke kareñge gar mehnat ho jā.egā har sapnā puurā

    himmat se huī haiñ tāmīreñ jur.at se huā hai kaam nayā

    jab azm-o-amal achchhā hogā achchhā natīja bhī hogā

    ham log yahāñ halva khā kar ik sham.a jalā.e baiThe haiñ

    halwe ke liye phir aaj bhi hum ek aas lagae baiThe hain

    jo baat zaban par la na sake wo dil mein chhupae baiThe hain

    thoDi si miThai taq pe thi muTThi mein churae baiThe hain

    abbu ke bhagae bhage the ammi ke bulae baiThe hain

    kuchh bach bhi gai hain piTne se kuchh mar bhi khae baiThe hain

    tujh se to hamein koi shikwa ai KHaliq-e-subh-o-sham nahin

    school hi aisa hai ki jahan kuchh chain nahin aaram nahin

    is waqt agarche sar mein kisi ke dard barae nam nahin

    har waqt magar paDhte rahna kam-umron ka to kaam nahin

    sab apni apni kursi par sudh-budh bisrae baiThe hain

    ek bar kahin se mil jata hum sab ko charagh-e-chain agar

    bas sal mein ek din paDh lete darje ki kitaben far far far

    phir KHwab hi dilchaspi rahti phir KHub maza aata din bhar

    school mein jaana kyun hota har roz ye rahta kyun chakkar

    ummid nahin lekin phir bhi ummid lagae baiThe hain

    lekin ye zamana ilm ka hai ye waqt hai aage baDhne ka

    mil-jul ke karenge gar mehnat ho jaega har sapna pura

    himmat se hui hain tamiren jurat se hua hai kaam naya

    jab azm-o-amal achchha hoga achchha hi natija bhi hoga

    hum log yahan halwa kha kar ek shama jalae baiThe hain

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now