barsat aa gai hai
garmī ke zulm se ye
duniyā dahak rahī thī
pyāsī zamīn kab se
ākāsh tak rahī thī
mausam ko kyā huā hai
pal meñ badal gayā hai
lū ban ke chal rahī thī
ye to vahī havā hai
dekho chalī havā.eñ
chillā.īñ saa.eñ saa.eñ
bādal ko saath apne
har samt le ke jaa.eñ
tham tham chale haiñ bādal
Dam Dam baje haiñ bādal
kholī hai āsmāñ ne
bādal kī apnī chhāgal
paanī baras rahā hai
mausam ye hañs rahā hai
bārish meñ bhīgtā hai
kīchaḌ meñ phañs rahā hai
baste uThā.e bachche
schōl ko chale haiñ
khetoñ kī samt apne
dahqāñ nikal paḌe haiñ
har samt paanī paanī
nadiyoñ meñ hai ravānī
panchhī chahak rahe haiñ
ḳhushiyoñ kī hai nishānī
garmī ko khā ga.ī hai
har samt chhā ga.ī hai
dil ko lubhā ga.ī hai
barsāt aa ga.ī hai
garmi ke zulm se ye
duniya dahak rahi thi
pyasi zamin kab se
aakash tak rahi thi
mausam ko kya hua hai
pal mein badal gaya hai
lu ban ke chal rahi thi
ye to wahi hawa hai
dekho chali hawaen
chillain saen saen
baadal ko sath apne
har samt le ke jaen
tham tham chale hain baadal
Dam Dam baje hain baadal
kholi hai aasman ne
baadal ki apni chhagal
pani baras raha hai
mausam ye hans raha hai
barish mein bhigta hai
kichaD mein phans raha hai
baste uThae bachche
school ko chale hain
kheton ki samt apne
dahqan nikal paDe hain
har samt pani pani
nadiyon mein hai rawani
panchhi chahak rahe hain
KHushiyon ki hai nishani
garmi ko kha gai hai
har samt chha gai hai
dil ko lubha gai hai
barsat aa gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.