Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chand nasihaten

Allama Iqbal

chand nasihaten

Allama Iqbal

kaaT lenā har kaThin manzil kuchh mushkil nahīñ

ik zarā insān meñ chalne himmat chāhiye

mil nahīñ saktī nikammoñ ko zamāne meñ murād

kāmyābī jo ḳhvāhish ho to mehnat chāhiye

ḳhaak mehnat ho sakegī ho na jab hāthoñ meñ zor

tandurustī ke liye varzish aadat chāhiye

ḳhush-mizājī zamāne meñ koī jaadū nahīñ

har koī tahsīñ kahe aisī tabī.at chāhiye

hañs ke milnā raam kar lenā har har insān ko

sab se mīThā bolne tum ko aadat chāhiye

ek allāh ke bande haiñ sab chhoTe baḌe

apne ham-jinsoñ se duniyā meñ mohabbat chāhiye

hai burā.ī burā.ī kaam kal par chhoḌnā

aaj sab kuchh kar ke uTho gar farāġhat chāhiye

jo buroñ ke paas baiThegā burā ho jā.egā

nek hone ke liye nekoñ sohbat chāhiye

saath vaale dekhnā tum se na baḌh jaa.eñ kahīñ

josh aisā chāhiye aisī hamiyyat chāhiye

hukmarāñ ho koī apnā ho begāna

ḳhudā ne jis ko izzat us izzat chāhiye

dekh kar chalnā kuchal jaa.e na chyūñTī raah meñ

aadmī ko be-zabānoñ se bhī ulfat chāhiye

hai isī meñ bhed izzat agar samjhe koī

chhoTe bachchoñ ko buzurgoñ itā.at chāhiye

ilm kahte haiñ jise sab se baḌī daulat hai ye

DhūñD lo is ko agar duniyā meñ izzat chāhiye

sab burā kahte haiñ laḌne ko burī aadat hai ye

saath ke laḌke jo hoñ un se rifāqat chāhiye

hoñ jamā.at meñ sharārat karne vaale bhī agar

duur un se faqat sāhab salāmat chāhiye

dekhnā aapas meñ phir nafrat na ho jaa.e kahīñ

is qadar had se ziyāda bhī na millat chāhiye

bāp-dādā baḌā.ī pe na itrānā kabhī

aadmī ko apne kāmoñ sharāfat chāhiye

gar kitābeñ ho ga.iiñ mailī to kyā paḌhne lutf

kaam chīzeñ haiñ jo un hifāzat chāhiye

kaT lena har kaThin manzil ka kuchh mushkil nahin

ek zara insan mein chalne ki himmat chahiye

mil nahin sakti nikammon ko zamane mein murad

kaamyabi ki jo KHwahish ho to mehnat chahiye

KHak mehnat ho sakegi ho na jab hathon mein zor

tandurusti ke liye warzish ki aadat chahiye

KHush-mizaji sa zamane mein koi jadu nahin

har koi tahsin kahe aisi tabiat chahiye

hans ke milna ram kar lena har har insan ko

sab se miTha bolne ki tum ko aadat chahiye

ek hi allah ke bande hain sab chhoTe baDe

apne ham-jinson se duniya mein mohabbat chahiye

hai burai hi burai kaam kal par chhoDna

aaj sab kuchh kar ke uTho gar faraghat chahiye

jo buron ke pas baiThega bura ho jaega

nek hone ke liye nekon ki sohbat chahiye

sath wale dekhna tum se na baDh jaen kahin

josh aisa chahiye aisi hamiyyat chahiye

hukmaran ho koi apna ho ya begana

di KHuda ne jis ko izzat us ki izzat chahiye

dekh kar chalna kuchal jae na chyunTi rah mein

aadmi ko be-zabanon se bhi ulfat chahiye

hai isi mein bhed izzat ka agar samjhe koi

chhoTe bachchon ko buzurgon ki itaat chahiye

ilm kahte hain jise sab se baDi daulat hai ye

DhunD lo is ko agar duniya mein izzat chahiye

sab bura kahte hain laDne ko buri aadat hai ye

sath ke laDke jo hon un se rifaqat chahiye

hon jamaat mein shararat karne wale bhi agar

dur ki un se faqat sahab salamat chahiye

dekhna aapas mein phir nafrat na ho jae kahin

is qadar had se ziyaada bhi na millat chahiye

bap-dada ki baDai pe na itrana kabhi

aadmi ko apne kaamon ki sharafat chahiye

gar kitaben ho gain maili to kya paDhne ka lutf

kaam ki chizen hain jo un ki hifazat chahiye

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now