jab hum bhi baDe ho jaenge
ham rañg-e-junūñ se hastī kī tasvīr badal deñge ik din
tadbīr-o-amal se duniyā kī taqdīr badal deñge ik din
jab ham bhī baḌe ho jā.eñge
zulmat ko miTā.eñge ik din ye kar ke dikhā.eñge ik din
dil jis se hoñ raushan logoñ ke vo diip jalā.eñge ik din
jab ham bhī baḌe ho jā.eñge
dekhe haiñ jo ab tak logoñ ne vo ḳhvāb kareñge ham puure
sahrā-e-vatan ko mil-jul kar sīñcheñge lahū se ham apne
jab ham bhī baḌe ho jā.eñge
ham chiir ke siina dhartī kā DhūñDeñge ḳhazāna daulat kā
ākāsh pa jā kar dekheñge kyā raaz hai us kī shohrat kā
jab ham bhī baḌe ho jā.eñge
kyā chiiz hai us ke dāman meñ sāgar meñ utar kar dekheñge
tūfān meñ kitnā dam-ḳham hai kuchh der Thahar kar dekheñge
jab ham bhī baḌe ho jā.eñge
hum rang-e-junun se hasti ki taswir badal denge ek din
tadbir-o-amal se duniya ki taqdir badal denge ek din
jab hum bhi baDe ho jaenge
zulmat ko miTaenge ek din ye kar ke dikhaenge ek din
dil jis se hon raushan logon ke wo dip jalaenge ek din
jab hum bhi baDe ho jaenge
dekhe hain jo ab tak logon ne wo KHwab karenge hum pure
sahra-e-watan ko mil-jul kar sinchenge lahu se hum apne
jab hum bhi baDe ho jaenge
hum chir ke sina dharti ka DhunDenge KHazana daulat ka
aakash pa ja kar dekhenge kya raaz hai us ki shohrat ka
jab hum bhi baDe ho jaenge
kya chiz hai us ke daman mein sagar mein utar kar dekhenge
tufan mein kitna dam-KHam hai kuchh der Thahar kar dekhenge
jab hum bhi baDe ho jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.