KHwabon ki haqiqat
bachcha
mammy mujh ko bātoñ se bahlāo nā
kyā hote haiñ ḳhvāb mujhe batlāo nā
mujhe batāo kyā ḳhvāboñ kī haqīqat hai
kyūñ-kar kaise itnī pyārī jannat hai
kyā ye sach hai duudh kī nahreñ bahtī haiñ
vahāñ kahīñ kyā rañgīn pariyāñ rahtī haiñ
maañ
mere munne ġhaur se sun jo sunātī huuñ
tujhe haqīqat ḳhvāboñ kī samjhātī huuñ
ḳhvāb hamārī aql kā paidā jazba hai
sach pūchho to ḳhvāb faqat ik dhoka hai
ḳhvāb hamārī fikr aur soch kī jannat hai
ḳhvāb nahīñ kuchh is kī yahī haqīqat hai
bachcha
mammy mujh ko baaton se bahlao na
kya hote hain KHwab mujhe batlao na
mujhe batao kya KHwabon ki haqiqat hai
kyun-kar kaise itni pyari jannat hai
kya ye sach hai dudh ki nahren bahti hain
wahan kahin kya rangin pariyan rahti hain
man
mere munne ghaur se sun jo sunati hun
tujhe haqiqat KHwabon ki samjhati hun
KHwab hamari aql ka paida jazba hai
sach puchho to KHwab faqat ek dhoka hai
KHwab hamari fikr aur soch ki jannat hai
KHwab nahin kuchh is ki yahi haqiqat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.