naya plan
aao nayā mansūba banā.eñ
duniyā ko ik raah dikhā.eñ
jang ke bādal duur kareñ ham
zulmat ko pur-nūr kareñ ham
amn kā parcham lahrā.eñ ham
nā-samjhoñ ko samjhā.eñ ham
zulm kī har buniyād miTā.eñ
aao nayā mansūba banā.eñ
suukh rahī hai Daalī Daalī
zard hai bāġhoñ kī hariyālī
koyal bulbul chup haiñ saare
titlī bhañvre haiñ dukhyāre
sūkhī huī kaliyoñ ko khilā.eñ
aao nayā mansūba banā.eñ
jag-mag jag-mag rangīñ rāteñ
sūraj kī dilkash sauġhāteñ
ambar ke sansār meñ jā kar
tāroñ ke bāzār meñ jā kar
pyāre chandā ko dekh aa.eñ
aao nayā mansūba banā.eñ
ammī baajī daadī naanī
kahtī haiñ bhūtoñ kī kahānī
'kaifī' aur 'sāhir' ke tarāne
aao chalo un sab ko sunāne
aur apne bhī giit sunā.eñ
aao nayā mansūba banā.eñ
duniyā ko ik raah dikhā.eñ
aao naya mansuba banaen
duniya ko ek rah dikhaen
jang ke baadal dur karen hum
zulmat ko pur-nur karen hum
amn ka parcham lahraen hum
na-samjhon ko samjhaen hum
zulm ki har buniyaad miTaen
aao naya mansuba banaen
sukh rahi hai Dali Dali
zard hai baghon ki hariyali
koyal bulbul chup hain sare
titli bhanwre hain dukhyare
sukhi hui kaliyon ko khilaen
aao naya mansuba banaen
jag-mag jag-mag rangin raaten
suraj ki dilkash saughaten
ambar ke sansar mein ja kar
taron ke bazar mein ja kar
pyare chanda ko dekh aaen
aao naya mansuba banaen
ammi baji dadi nani
kahti hain bhuton ki kahani
'kaifi' aur 'sahir' ke tarane
aao chalo un sab ko sunane
aur apne bhi git sunaen
aao naya mansuba banaen
duniya ko ek rah dikhaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.