Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uT-paTang

Gulzar

uT-paTang

Gulzar

MORE BYGulzar

    kānoñ ik nagrī dekhī jis meñ saare kaane dekhe

    ek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyāne the

    kānoñ is nagrī ke sab riit rivāj alāhada the

    rog alāhada bastī meñ the aur ilaaj alāhada the

    do do kaane mil kar puurā sapnā dekhā karte the

    gañgā ke sañgam se kaane jamunā dekhā karte the

    chāñdnī raat meñ chhatrī le kar bāhar jaayā karte the

    os gire to kahte haiñ vaañ sar phaT jaayā karte the

    dariyā pul par chaltā thā paanī meñ raileñ chaltī thiiñ

    lañgūroñ dum par añgūroñ beleñ paktī thiiñ

    chhūt ik bīmārī phailī ek dafa un kānoñ meñ

    bhuuk ke kiiḌe sunte haiñ nikle gandum ke dānoñ meñ

    roz ka.ī kaane bechāre marte the bīmārī meñ

    kahte haiñ raajā sotā thā sone almārī meñ

    ghanTī bāñdh ke chūhe jab billī se dauḌ lagāte the

    peT pe donoñ haath bajā kar sab qavvālī gaate the

    tab kaanī bhaiñs ne phuul phulā kar chheḌā biin baajā

    aur kaalā chashma pahan ke singhāsan par aayā raajā

    dukh se chashme donoñ āñḳheñ paanī paanī thiiñ

    dekhā us kaane raajā donoñ āñḳheñ kaanī thiiñ

    jhūTā hai jo andhoñ meñ kaanā raajā hai kahtā hai

    kar dekho kaanī nagrī andhā raajā rahtā hai

    kanon ki ek nagri dekhi jis mein sare kane dekhe

    ek taraf se ahmaq sare ek taraf se siyane the

    kanon ki is nagri ke sab rit riwaj alahada the

    rog alahada basti mein the aur ilaj alahada the

    do do kane mil kar pura sapna dekha karte the

    ganga ke sangam se kane jamuna dekha karte the

    chandni raat mein chhatri le kar bahar jaya karte the

    os gire to kahte hain wan sar phaT jaya karte the

    dariya pul par chalta tha pani mein railen chalti thin

    languron ki dum par anguron ki belen pakti thin

    chhut ki ek bimari phaili ek dafa un kanon mein

    bhuk ke kiDe sunte hain nikle gandum ke danon mein

    roz kai kane bechaare marte the bimari mein

    kahte hain raja sota tha sone ki almari mein

    ghanTi bandh ke chuhe jab billi se dauD lagate the

    peT pe donon hath baja kar sab qawwali gate the

    tab kani bhains ne phul phula kar chheDa bin ka baja

    aur kala chashma pahan ke singhasan par aaya raja

    dukh se chashme ki donon hi aanKHen pani pani thin

    dekha us kane raja ki donon aanKHen kani thin

    jhuTa hai jo andhon mein kana raja hai kahta hai

    ja kar dekho kani nagri andha raja rahta hai

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now